Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, October 31, 2010

Somewhere Someone

i may not be anythin to anyone
but i know i am everything to someone

i may not be remembered by anyone
but somewhere someone remembers me

i may be termed as evil by many
but somewhere someone prays for me

i may be rejected by everyone
but somewhere someone accepts me everytime

i may not be able to speak the truth to anyone
but somewhere someone listens to every truth of mine

i may be the worst person for everyone
but somewhere someone keeps me like the best

i may be made sad by everyone
but somewhere someone makes me happy everytime

i may be left by everyone
but somewhere someone lives for me

i may miss all those whom i want to stay in life
but somewhere someone doesnt give me a chance to miss

i may have noone to speak to
but somewhere someone listens to me everytime

what i speak may be rubbish to everyone
but somewhere someone keeps on listening

everyone may change with time
but somewhere someone will still be the same

i know u r somewhere missing me ryt now
n i know u r smiling reading this...

love u alot
but i know u love me more
dats y i respect u alot
thanx for being thr and making this lyf beautiful...!!!
THANX FOR EVERYTHING...!!!

Tuesday, October 5, 2010

guzarish hai tumse kuch to karo...

(this is written by me after a great thought please read the full poem, i'll be thankful to you)

mastaani is duniya me
banke chal rhe hai raahi hum akele,
jee rhe hai sbke sath
fir bi dil kyu rahe akele,
kabi kabi sochta hu
sab to mast hai hum hi hai bas akele,
par dekhta hu jab idhar udhar
paata hu laakho dilo ko jo keh rhe hai hum bhi hai akele,
jinko na mil paaya hai
chahte the wo jaisa,
shikayat wo bhi karte hai
dard unhe bhi hota hai
fir sochta hu main
kyu na unse milu
kuch unka aur kuch apna dard kum to hoga,
kuch akelapan door to hoga,
fir yaad aate hai muje wo bachpan k din,
jab reh na paata tha maa ke bin,
bohot aasan tha jeena tab,
sab kuch mil rha tha bethe bithaye jab,
aj jab dekhta hu bacho ko,
to khush hota hu dekh kar unki maasumiyat ko,
par fir agle pal me ho jaata hu dukhi
kyuki ye zaalim duniya cheen legi unki maasumiyat ko,
jaise isne cheen liya hai meri muskurahat ko,
apni muskurahat se muje itna pyaar nahi,
par ye bache khush rhe isse zyada kuch main chahta nahi,
kyu karte hai log itne zulm
ki ye chota sa bacha bade hokar kya kya karne lagta hai,
yaha tak ki apne maa baap ko bi chod deta hai,
kyu hota hai ye
kyu hota hai ye
iska jawab to hai sirf duniyawalo tum pe,
ek maasum jo aya tha
is duniya me sachai laaya tha
usko bi tumne farebi bana diya,
baksh dete kum se kum usko
usko kyu apni tarah zulm krna sikha diya,
ab wo bacha bada hua
usne bi wohi kiya jo uske sath hua,
ye to duniya ka niyam hai
is bhoomi ki reet hai
jiske sath jo hota hai
wo waisa hi krta hai
isliye is insaan ki bi kya galti
jisko bachpan me itna zulm diya gya
ki wo muskurana tak bhul gya
aaj usey aata hai kuch to bas zulm krna
peete hai ab ye sharab
jo banna chahte the nawab,
unke bhi the kuch khwab
unhone bi socha tha kuch
par is duniya me unke khwab tod diye gye
aur jeene se pehle hi inke dil maar diye gye,
kisi ko bura nahi banake bhejta hai mera khuda
mera khuda to hai rehmat krne wala
ye to hai sabko chahne wala,
par fir kyu banta hai koi bura..
fir kyu hoti hai itni ladaiya
fir kyu mit jaata hai ek pal me pyaar
aur ho jaati hai takraar,
kyu aa jati hai har ek rishte me daraar
aur kyu a jaati hai har naate k beech ek deewar,
ye deewar khuda ne nahi banayi
ye to hum sabki banayi hui hai,
ye deewar hai un masumo k khoon ki
unke muskurahat ki
unke dilo ki
jo hum sabne kaid karli hai,
ye deewar hai us nafrat ki
jo in maasumo k mann me pal gyi hai
ye deewar hai us pal bani
jab hue hai inpe zulm hi zulm
in maasumo ko koi shauk nahi tha bura banne ka
par acha bhi inhe kisne banne diya,
na chah kar bi inhone gum ka har pyaala piya,
aj hona chahye tha inhe bi gaadiyo me
hone chahye tha inhe bade daftaro me,
par kyu hai aj inke hath me cigarette
kyu udate hai dhua ye
kyu jalate hai apne aap ko ye
kyu nahi keh paate kisi se kuch
aur dil hi dil rote hai ye
raat me daaru peete hai,
subah uthke fir ek naya din dekhte hai
dhundte hai us naye din me ye khushiya
par kaha se ayegi wo khushiya
jab koi dena hi nahi chahta
fir ye raat me kothe pe bhi jaate hai
ye kap kapate bhi hai
par akela mehsus karte hai
kothe pe jaake inko milti hai khushiya
inko lagti hai wo ek achi duniya
par isme inki koi galti nahi
is bekaar suniya se to wohi duniya achi hai
jahan mol bhav nahi hota hai
paise do to sab kuch apne jaisa milta hai
aur kuch der k liye hi sahi par akelapan door to hota hai
kabhi socha hai ki wahan bethne wali ladkiya bhi
kabhi bachi rahi hongi,
unke bhi kuch khwab honge
jinhe wo sajaana chahti hongi
par kisi ne unhe mauka na dia
to pet paalne k liye unhone ye kiya
main to kehta hu laakh gunha achi hai wo aurte
hum sab se
kum se kum logon ko khushi to de rahi hai,
kuch bhi sahi
par thoda dukh to kum kar rahi hai,
par hum log kya samjhenge is baat ko,
na hum samjhenge is jazbaat ko,
na hum samjhenge kothe pe bethne waali in aurto k mann ko
aur naa hi hum samjhenge un maasumo ko,
kyuki hum logo k paas waqt kahan hai..
humare paas sabke liye to waqt hai par in maasumo k liye nahi
maa baap bhi nikal jaate hai duty par
chod jaate hai inhe apne haal par
dheere dheere akele rehne ki aadat pad jaati hai inhe
aur kya kare ye akele rehke bhi
hai koi jawab aap logon k paas..
ki kyu hum apno ka hi jeevan bekaar kr rhe hai
aaj jisse hum pyaar krte hai
ya jo humse pyaar krta hai
uske liye humare paas waqt nahi
par ORKUT FACEBOOK ke liye humesha waqt nikal aata hai
do pal pyaar ki baat krne ka waqt nahi
par TV pe laakho pyaar bhari baate sunne ka waqt hai
do pal sath bethne ka waqt nahi
par THEATRE me 3 ghante barbaad krne ka waqt hai
aur kya kya batau
aur kya kya kahu
aur kya kya bolu
sharm aati hai muje aaj
is duniya pe
wo khuda bhi dekhta hoga
to dukhi hota hoga
hum logo pe
kya kiya hai humne aaj tak
kya chaha hai humne aaj tak
dusro k liye jee nahi sakte
to jo tumhare liye jeete hai unhe maaro to mat
abhi bhi waqt hai mere yaaro
sambhal lo is duniyaa ko
nahi to humaara kya hai
hum to bolne aye the
ek din aise hi chale jayenge
par yaad karoge tum ye baate
jab hum nahi reh jayenge
waqt ko sahi jagah istemaal karo
kuch to un maasumo ka dhyan karo
kuch to apna bachpan yaad karo
aur sabke liye is jeevan me kuch na kuch zarur karo
dua milegi logon ki
hogi rehmat us khuda ki
dil bhi tumhara khush hoga
aur tumhare jeevan me ujaala hi ujaala hoga
tum kuch to karo
tum kuch to karo...!!!