Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, September 30, 2012

tujpe kahin zyada mara karta hu..

neend aati hai to khol leta hu,
sapne hote hai to tod deta hu

main tere khaatir kya kya kar deta hu,
fir bhi tu kehta hai tujhe mol nahi deta hu

apni hasratein tujpe nisaar karta hu,
sach kehta hu main bas tujpe hi marta hu

fir bhi tu kehta hai ki mujse darta hai
bata to main aisa kya karta hu

tu nahi hota to main akele hua karta hu
tere bin main tanha jiya karta hu

sun meri dhadkan ko kabhi,
jaise main tujhe suna karta hu;
intezaar tera main aj bhi kiya karta hu

sach kahun to ab main tujpe
pehle se kahin zyada mara karta hu..!!

har raat ki shuruat jaam se hai..

ye bandhan tere naam se hai;
mere karm tere kaam se hai;
yu to har subah ka ant teri shaam se hai;
par na jaane kyu har raat ki shuruat jaam se hai..

Wednesday, September 26, 2012

ye dil to hai bas tumko hi chahta


kaise bhulaye tujhko,
rahaa nahi jaata;

par kya kare dil me jo dard hai,
wo sahaa nahi jaata;

reh jaati hai kayin umeede seene me dabi hui
is kadar,
ki bin unke khush rahaa nahi jaata;

hota tha tumhara deedar roz,
par ab roz ye dil hai taras jaata;

kaise samjhau tumko,
ki ye dil to hai bas tumko hi chahta;

teri naadaniyo ki saza milti hai mujhko,
fir bhi kehta hai tu ki main tujhko samajh nahi paata;

dil karta hai ki ye bandhan tod du,
par tere bina rehna nahi aata;

mushkilo se jhoojkar bana hu is kaabil,
par fir bhi tujhko poora haasil kar nahi paata;

par ye dil to hai naadan,
fir bhi ye hai tujhko chahta...

--abhi