Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, November 20, 2011

chahta rahunga tujko main humesha bepanah...

tumse thi meri raatein,
tumse hi din bhi the

tumse ki thi kayin baatein,
tumse roothe hum bhi the

tum jo mile ho mujko,
jaage hai dil me armaan kayin

paas jab tum aate ho,
toh door fir kyu jaate ho

aahtein apni sunaake,
waapas kyu chale jaate ho

main to hu ek sookha patta,
tere bin ohh jaana

na jee paunga
na reh paunga na keh paunga kuch,
tere bin ohh janaa

aa zara mere dil se puchle tu,
kaisa lagta hai jab tu chale jaata hai

kyu tu muje chodkar,
chale jaata hai

chahtein dekar mujko kayin,
aise kyu tu satata hai

chahta hu tujko main,
har dum bepanah

maana hai maine ye bhi,
di hai tujko sazaa
par dena na tu daga

kyuki chahtein hai meri
meri chahtein hai tere liye ohh jaana

aur chahta rahunga tujko main
humesha bepanah..!!

ho gya hai hume bhi pyaar..

hua hai ye jo bhi kya hai,
kyu hai dil ye bekaraar,
lagtaa hai hume bhi ho gya hai pyaar..
teri nazroo ne mujhe dekha jis tarah mere yaar,
aaya na fir karaar,
lagta hai hume bhi ho gya hai pyaar..
hum kare na kare ikraar
lekin maanle mere yaar,
lagta hai hume bhi ho gya hai pyaar..
sambhalke rakha tha ye dil humne,
kar diya tumne ispe bhi waar,
lagta hai hume bhi ho gya hai pyaar..
seedha sa insaan bhi,
ban gya kalakaar,
lagta hai hume bhi ho gya hai pyaar..
gaye gum k mausam,
jabse ayi hai ye bahaar,
ab to humne maan hi lia
ho gya hai hume bhi pyaar...!!

Saturday, November 19, 2011

jaan gye hai hum..

tere hone se kuch to khaas hota hai,
bhul jaate hai sab hum
fir bi kuch ehsaas to hota hai,
bolte nahi hai kuch hum
fir bi kuch mehsoos to hota hai,
jaan gye hai hum
tumhare hone naa hone ka kitna asar hota hai..

sur nahi hai humare paas
par hote ho tum to kuch saaz to hota hai,
tumhare sath chalne se
hume kuch naaz to hota hai,
jaan gye hai hum
tumhare hone naa hone ka kitna asar hota hai..

aksar kahi thi humne jo baate
aaj unpe aitraaz to hota hai,
kyuki tumhe chahne ka
har din lajawaab hota hai,
aur jaan gye hai hum
tumhare hone naa hone ka kitna asar hota hai..