Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Saturday, August 1, 2015

rehna har sadi ke liye humse jud kar..

khwabon ke jharokhe me tujhko sajakar
dil ke aangan par tasveer banakar

dekhna kabhi aankhon ke ojhal paani me hume
rakhe hai aaj bhi nishan tumhare sajaakar

ek mehfil me mujhko tanha kar
chod aaye mere pyaar ko nafrat keh kar

sunna kabhi dhadkano ke ehsaaso se hume
paaoge apna hi naam humare dil par

madhoshiyo me humko tanhaiya de kar
laut aaye tum apne sheher hume ruswa kar

sochna kabhi ehsaaso ki khamoshiyo me doob kar hume
aur rehna saazo se har sadi ke liye humse jud kar..

Tuesday, June 16, 2015

ye waada hai jisse main mukarta nahin..

Sab kuch laake dedu tere kadmo me
Ye waada to main karta nahi
Magar hai jo mera wo sab kardu tere naam
Ye waada hai jisse kabhi mukarta nahi
Har subah har shaam rahun tere paas
ye waada to main karta nahi
Magar rakhunga Tujhko dil me sada basaake
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Har pal nayi baat karu tujhse
ye waada to main karta nahi
Magar har baat tujhe batake karu
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Tujhe har pal hasaane ka waada
To main karta nahi
Magar koi rulayega nahi kabhi tujhe
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Saat janmo tak saath rahu
Ye waada to main karta nahi
Magar jab tak hai jaan meri har saas hai teri
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Kabhi doob jaana mere chahat ke samundar me
Le chalunga is duniya se kahin door
Ye hai waada jisse main mukarta nahi..

Saturday, April 25, 2015

dil bechain mera chain loot jaata hai..

dil me basi ek aas se
koi meri pyaas ka andaaza laga jaata hai

meri kashti ki gati se
koi meri tanhai naap jaata hai

kya karu main aur kya na karu
mere karne se hain laakho dukhi

aur na karu to
dil bechain mera chain loot jaata hai..

wo mujhko har sham bhula jaata hai

pal pal ki chaahaton se banaya hua ek samundar
koi pal bhar me loot jaata hai

bhujti to nahi meri pyaas
par koi aur apni aas mitaa jaata hai

rehta hu main tanha kisi ek mod pe khada
koi kinaaro se meri kashti utaar jaata hai

main bhulke bhi nahi bhul paata apne dil me basi us tasveer ko
aur wo mujhe har shaam bhula jaata hai..

zindgi me..

tanha tha zindgi me
tanha raha zindgi me
khush to raha thoda
roya bohot magar zindgi me

thi ek kashish
jo ban gyi khwahish
dauda bohot peeche
par mili na wo zindgi me

mehfile saji laakho
laakho bethe bhula mujhe
main tha jab zinda raha tab tanha
ab mara hu to hazaaro chaahte hain mujhe apni zindgi me..
-@bhi