Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, November 9, 2014

tu khushiya laa..

kahin to khuda
tu farz nibha
tod de gum ki dastak
tu khushiya laa
kaise jiyu zindgi
tu hi mujhko bata
main to tha tere bharose
tu hi ab rasta dikha
meri saansein hain
meri baatein hain
mera jo bhi hai
tere waaste hai
ab tu hi to mujhko bata
mujhko rasta bata
kaise bhulu gum ko main
khushiyo ko tu hi la
tere sajde kiye
tere darshan kiye
laakh dhunda tujhe
fir bhi na mile
kaisi hai ye hulchul mann me
tu hi mujhko samjha
meri hi zindgi
mera hi aks jo
tut gya hai jo
tu hi mujhko wapas dilaa
meri mastiyo me
in kashtiyo me
doobi thi kahin chupke
in lehro ke niche
meri hasi hai jo
tu hi usko laa
samjhade aye khuda
samjhade aye khuda mere yaar ko
ruthe baitha hai bache ki tarah jo
ek wo hi mera hai
ek wo hi savera hai
baaki sab to fareb hai
ek wo hi sahaara hai
kya karunga main us bin
jo rahe humesha mere bin
koi to bahaane se
dhundke tu usko laa
koi to bahaane se
dhundke tu usko laa
mere har zarre me
mere dil me bhi
wo hi wo basa hai lekin
main tanha hu
wo hi wo basa hai lekin
fir bhi tanha hu
kaise kahun tu bata
apna haal jo hai
kaise dikhlau tu bata
dil ka haal jo hai
main hi hu khud ka bandhak
dil bekaraar hai
main hi to khud ka bandhak
dil bekaraar hai
meri chaahaton me bhi
meri sharaarton me bhi
kahin chupa sa wo hai
usko tu ubhaar laa
mere dil ka sandesh
mere dil ki baatein
mere hisse ki khushi bhi chaahe
tu usko lagaa
main khoob hu roya
khud me hi hu bhikhra
mere hisse ki gum ko
bhale hi tu de bhadaa
par usko tu
par usko tu khud se hi
mat churaa
par usko tu khud se hi
mat churaa
meri sabhi baatein
meri ye raatein
meri neendein mere sapnein
mere din bhi rote
magar tu
magar tu usko de hasaa
main hu ek zarra
khud me hi hu simta
main hu ek zarra
khud me hi hu simta
meri shararoton ko
meri shararoton ko
tu dede maafiyan
main hu nasamajh
main hu nasamajh
mujhko tu dede maafiyan
par usko sawaar le
mere yaar ko sawaar le
maine ki thi kuch khatayein
kuch bhalayein bhi thi ki
mujhko lekin ye na samjha
kaise tu ne mujhko door karaa
main to tha tera hi hissa
tujhse jo tha sadaa lipta
teri baaton me bhi
khud ko dhundta tha main
par meri baaton me
kyu tu khud ko na dhund paaya
bata kaisa ye sawaal tu
mere saamne hai laaya
du jawaab iska
ya rahu sada ki tarah chup khada
ab tu hi de mujhko bataa
karu to karu main kyaa
mere hi hisse ka dede gum
meri hi khushiyon ko kum
karde re tu maula
aye maula
main hu sadaa lipta
angaaro me kahin simta
mujhe khud se hi tu karke judaa
kar dega bilkul tanhaa
-- © abhi