Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, January 13, 2013

teri har adaa yaad aati hai..

In phoool ki kaliyo ko jab khilta dekhta hu
to tere komal hatho ki yaad aati hai,
In khilkhilate panchio ko jab udta  dekhta hu 
to teri pyaari hasi yaad aati hai,
Dekhta hu jab is dharti pe saje har ek noor ko
Muje sabse khubsoorat shaks ki yaad aati hai
aur tab sirf teri har adaa aankho ke saamne chaa jaati hai

tere bin..

kaha chale gye wo din
jab katte na the pal tere bin

kaha chale gye wo din
jab lamhe na hote the koi bhi tere bin

kahan chale gye na jaane wo din
jab hasi koi na hoti thi tere bin

kahan chale gye aaj wo din
jab chalna na hota tha tere bin

aaj kaise jee rha hu tere bin
ye main hi jaanta hu

kaise lamhe guzaarta hu din din
ye khud ko bhi nahi samjha paata hu

bohot kami hoti hai zindgi me tere bin
par mehsoos karne ki chaah me ro jaata hu
isliye mehsoos bhi inhe nahi karna chahta hu

jab kabhi degi zindgi mauka tujhse milne ka
tab tak shayad aadat ho jayegi jeene ki tere bin


aaj bhi apna maanta hu..

Kabhi kabhi to dil ko samjha leta hu
Kabhi kabhi is dil ko yu hi behla leta hu
Nahi samajh paata koi isey fir bhi aise hi isko tehla leta hu
Barso se chahte samet rakhi hai isme
Socha tha mere apne inhe samjhenge
Aaj nahi samajh paaye fir bhi isko main samjha leta hu
Maanta tha ye dil apna tumhe par ye hi jaanta hai kaise in rishto ko sambhaalta hu

Waqt mile kabhi to parakh kar dekhna isey
Kitni yaadein main is dil me tumhari sajaake rakhta hu
Par kya karu hota hai dukh bohot ki tum log isko thukraate ho
Socha tha pyaar se khilega ye dil
Par dil hi jaanta hai kaise roz shaam main tanhayi bhari mehfil sajaata hu


Roz raat pran leta hu ki dil nahi lagaunga apno se ab

par har subah isko bhul jaata hu
fir yaad karta hu sabko
aur apna pran fir ek baar tod deta hu
sochta hu ab to bas yehi
ki kis liye main tumko aaj bhi apna maanta hu..!!


main pal pal marta bhi hu..

main to uljha sa rehta tha chaahat me uski
aur wo samajh na paayi ki main kis gum me hu

main to behka sa rehta tha baaton me uski
aur wo samajh na paayi ki main kis nashe me hu

main to behta hi rehta tha khayaalo me uske
aur wo samajh na paayi ki main kis duniya me hu

main to sota bhi tha to palko me uski
aur wo samajh na paayi ki main itna bekhud kyu hu

main to rota bhi tha to yaadon me uski
aur wo samajh na paayi ki main kis dhun me hu

main to jeeta raha bas uske intezaar me
isliye wo kabhi samajh na paayi ki main pal pal marta bhi hu..

lamha lamha dard de jaate hai..

Wo kehte hai hume unki khushiya raas nahi aati 
par lamha lamha dard to wo hume de jaate hai

kehte hai sabko ki hume unhe aazadi deni nahi aati
Par lamha lamha kaid to wo hume kar jaate hai

Kehte hai wo humse ki hume zindgi ki khushiya jeeni nahi aati
par bataye koi jaake unhe lamha lamha dukh to wo hume de jaate hai

aaj itne saalon baad bhi kehte hai ki hum unhe samajh nahi paaye

par kya wo apne diye zakhm samajh paate hai

kaise hum jiye unke is karz ko lekar

kal ko kahenge ki hum to itna sa karz bhi nahi chuka paate hai

bas koi unse jaake ye puchlo

ki jo wo hume samjhaana chahte hai
kya wo khud bhi samajh paate hai??

aye moorkh praani..

Ae moorkh praani ye kya kar daala tune 
ek masoom kali ko ujaad daala tune

Khil rahi thi jo masoom kali 
usko berehmi se kuchal daala tune

Aye moorkh ye kya kar daala tune
Soch agar teri maa behen ya biwi ke sath ye hota
To kya tu chup reh paata
Par kyu tune kar daala ye

Kyu us masoom kali ka jeevan bhigad daala tune
Kya bhigada tha usne tera 
jo tu daanav banke usko cheer aya
Itni bhook thi to jaake chakle pe paisa deke jism khareed leta
Par teri to wo bhi aukaat nahi tu unko khareed paaye
Kyuki wo bhi tere se zyada aukaat rakhti hai


Aye moorkh kya kiya jaaye tera
Mujhe to lagta hai tere jaise sab moorkho ko baandh diya jaaye zanjeero se 

aur tumhara jeevan un masoom kalio ke hatho me de diya jaaye

Fir bhi wo tumhe nahi maarengi kyuki unme utni insaaniyat fir bhi bachi rahegi
Aur tum to kameene ke kameeme aisi masoom kali ko dekh bhi insaan nahi ban paoge..

koi mujhe jeete jee zinda na dekh paaya..


wo kya samjhega mujhe
jo kabhi mujhe parakh hi nahi paaya

wo kya yaad rakhega mujhe
jo kabhi mujhe sun hi nahi paaya

ajeeb si kashmkash bhari hai dil me
par kyu koi dekhega isey
jab koi mujhe apna hi nahi paaya

main chaahat karte karte
uske itne kareeb ja pohcha
par wo kyu mehsoos karega mujhe
jab wo mujhe dekh hi nahi paaya

inhi khayaalo me jeevan beet gya mera
par koi kyu mere marne pe bhi ayega
jab koi mujhe jeete jee
zinda na dekh paaya..!!