raato me ujaala,
aur din me andhere
mehsus kia hai maine..
jugnu ki khilkhilahat,
aur taaro ki timtimahat ko
mehsus kia hai maine..
pyaar ko maar dena,
nafrat ko janam dena
mehsus kia hai maine..
humesha khoke paana,
aur paate hi kho dena
mehsus kia hai maine..
pal bhar ki khushi,
fir lambi raate rone ki
mehsus kia hai maine..
dusro ko muskurahat dena,
aur dusro ka mujse sab cheen lena
mehsus kia hai maine..
kisi ke liye pal pal marna,
aur kisi ka muje pal pal maarna
mehsus kia hai maine..
khushi chehre pe dikhana,
andar se pal pal ghutna
mehsus kia hai maine..
chahte hazar hona,
par har ek ko dil me daba lena
mehsus kia hai maine..
naarazgi ka wo aalam,
gusse me hona paagal
mehsus kia hai maine..
ro ro ke aankhe sujaana,
fir unhe kisi ko na dikhana
mehsus kia hai maine..
dosto ki us bheed me,
humesha tanhai ko
mehsus kia hai maine..
saath to hai bohto ka,
par us ek ke liye taras jaana
mehsus kia hai maine..
kya bataaye tumhe
aalam is judaayi ka,
doori me bhi
nazdeekio ko
mehsus kia hai maine...!!!
Wednesday, September 21, 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)