Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Monday, May 13, 2013

kuch likhne ka khayal aaya..

aaj fir kuch likhne ka khayaal aaya
to hothon pe sirf tera naam aaya

kalam uthaaya kuch shabd pirohne ko
to sirf tera hi khayal aaya

kyu ubhar nahi paata main us jazbaat se
jo main sadiyo pehle chod aaya

shayad teri shaksiyat hi kuch aisi hai
ki tere liye main khud ko hi khud se chod aaya

kabhi kabhi to soch me pad jaata hu
ki kyu tujhe chaahne ka kabhi khayaal aaya

par fir ye sochke samjha leta hu
ki kaun kabhi is dil ko rok paata

khoobsurat the aur rahenge wo lamhe
jinme main tujpe apna dil lutaa aya

ab koi shikwa nahi hai zindgi se
kyuki tujhe mujhse bhi achi chaahat mile
aaj main khuda se ye dua bhi maang aaya..

kaise bhul jau..

arz kiya tumne mujhse ki main tumhe bhul jau
han bhul sakta hu koi badi baat to nahi

par ye bata kaise wo haseen pal bhul jau
kaise tumhare saath bitaaye lamhe bhul jau
kaise main tumhare diye har nishaan bhul jau
kaise main us pyaar ka har waada bhul jau
kaise tere saath main tapti dhoop me ghumna bhul jau
kaise main mere haath pe tera haath rakhna bhul jau
kaise main tujhse raat raat bhar baat karna bhul jau
kaise main wo intezaar ki anginat ghadiya bhul jaau
kaise main tere liye kia gya har waade ka poora karna bhul jau
kaise main tera mujhe itna chaahna bhul jau
kaise main teri di hui yaadein bhul jau
tere ek kehne pe main chal padta tha jab
kaise main wo mulakaate bhul jau..

wo nafrate liye baithe hai..

aaj fir aankhon se aansu chalke hai
aaj fir wo kisse puraane aa palte hai

bhulne ki koshishe kar rha tha jisey sadiyo se
aaj wo fir nazro me aa baithe hai

rokna chaaha tha jisey mehsus karne se
aaj dil me wohi kuch ehsaas aa baithe hai

tum sahi hi kehti thi ki hum khudgarz hai
tabhi to aaj bhi apni kahaani likhne baithe hai

majboor paate hai hum khud ko bohot
par bas paristhitiyo ko samajhne ki aas me baithe hai

kya khudayi kardi khuda ne bhi
usi ko door kar diya, sadiyo se hum jiske hue baithe hai

meri wafaye thi uske liye aur rahengi sada
par kyu wo mujhe bhulaaye baithe hai

is pyaar bhari zindgi me
kyu wo mujhse hi rishta tod baithe hai

nahi samajh paaye ki itni chaahte dekar bhi
kyu wo humare liye dil me nafrat liye baithe hai..

kaha kisi fakeer ke paas heer chali aati hai..

teri sunehri khushboo mujhe kuch is kadar choo jaati hai
bheeni bheeni hawayein kuch yu muskura jaati hai
aati hai jab tu us khidki pe
to jaise meri saanso me saans aa jaati hai

bas fir to har jagah tu hi nazar aati hai
door rehke bhi teri dhadkane sunaayi aati hai
lagta hai kuch aisa ki jaise
meri rooh teri rooh ko choom aati hai

dekh ke tera sunehra mukhda meri zindgi mehek jaati hai
sach puch to ek pal ke liye ye saansein behek jaati hai
aur usi pal me apne hosh gawah bethta hu
jis pal teri jhuki nazre uthke meri nazro se mil jaati hai

ab to meri har dua me tu aati hai
kyuki na chaahte hue bhi tujhe chaahne ki umeed is dil me utar aati hai
par achaanak tu ojhal ho jaati hai
jab roz sawere meri maa mujhe uthaane aati hai..

tab ehsaas hota hai ki ye to mehez sapna tha
warna kaha kisi fakeer ke paas heer chali aati hai..

is taraf aur us taraf ki kahaani..


ek oor koi kisi ko itni mohobbat karta hai
dusri taraf koi kisi ko thukra deta hai,
ek taraf koi dil jod ta hai
to dusri oor koi kisi ka dil tod deta hai,
ek taraf sannato me bhi gehri khwahishe panapti hai
to dusri oor mehfilo me bhi koi tanha reh jaata hai,
ek taraf mohobbat ke koi daire nahi hai
to dusri oor humesha daire me mohobbat ki jaati hai,
ek taraf bechani kisi ki mohobbat se aati hai
to dusri oor koi nafrat se bechani de deta hai,
ek taraf itna intezaar karta hai koi
to dusri oor sirf intezaar karwaaya jaata hai,
ek taraf chaahke bhi nafrate adaa nahi hoti
to dusri oor mohobbate adaa karne me koi takleef bata deta hai,
ek taraf mann armaano se bhara hota hai
to dusri oor koi khaali bata deta hai,
ek taraf sheeshe ka dil liye firta hai koi
to dusri oor pathar ka koi bana hota hai,
ek taraf koi jism ki khushbu bayaan karta hai
to dusri oor rooh se hai nafrate ye koi batata hai,
ek taraf jeete jee bhi koi kasme waade adaa nahi kar paata
aur dusri oor koi marke bhi apna farz nibha jaata hai..

Saturday, May 11, 2013

MAA

kaise tu har baat mujhko samjha deti hai
kaise tu pyaar se mujhko behla deti hai
kaise tu gusse me bhi pyaar jhalkaati hai
kaise tu meri har khwahish poori kar jaati hai
kaise tu mere khaatir raat raat bhar jagti hai
kaise tu mere har sapne ko poora karne ke liye apne sapne tod deti hai
kaise tu mujhse bina kuch chaahe sab kuch kar deti hai
aakhir ye bata kaise tu mujhko sambhaal leti hai
itni khoobsurat hai tu
'MAA' kaise tu mujhko har galti ke liye baar baar maafi de deti hai

kyu tu meri har baat ko itna tavvajo deti hai
kyu tu mere bina bole mere mann ko samajh jaati hai
kar nahi sakta kabhi adaa jo tune diya
par sach kehta hu roz subah khuda me tu hi dikhaayi deti hai..

Friday, May 10, 2013

khush nahi ho kya

kyu roz mere dil me jeene ki tamanna jagaa dete ho
roz mujhe marta dekh khush nahi ho kya?
kyu roz wohi chaahte mere dil me jagaate ho
roz meri tabaahi se khush nahi ho kya?
kyu aaj bhi dete ho pal pal mujhe gum
chaahat ke aankhon me bhare samundar se khush nahi ho kya?
kyu roz mujhe subah jagaane ka naatak karte ho
mere na jaagne se khush nahi ho kya?
kyu roz usi tamanna se mehek uthte ho mere aashiyaane me
kya mere maatam pe bhi khush nahi ho kya?
ab batao kya karu main tumhara sath dene ke liye
maut ke baad bhi maut dene se khush nahi ho kya?