Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Monday, June 26, 2017

Teri chaahatein

Teri yaadein
Teri baatein
Teri chaahatein
Teri daastanein

Mitati hai banati hai
Fir humko lutati hai

Kaisi hai na jaane kaisi hai
Teri ye chaahatein

Jo humko rulaati hain..

Zehreeli baatein

Wo soonapan
Wo tanha pan

Wo kaali raatein
Wo rookhi aahatein

Wo feeki baatein
Wo bheegi yaadein

Yaad hai sab kuch hume
Bhoole nahi hum wo zehirili baatein

Aazaad

Aazaad hai wo humse
Aazad hai hum unse

Hai aazad humare iraade
Hai aazad unke iraade ab humse

Hai aazad wo dhoop ki kiran
Humari ek nazro se

Aazad hai wo palke
Ab humari palko se

Hai aazad aasman
Hai aazad ye zameen ab humse

Chalo chalte hai door kahin
Jaha aazad ho humari rooh sabse

Bina keemat ke..

Bina keemat ke is jahan me
Koi cheez nahi milti

Deedaar ki bhi yahan
Ek keemat chukani hai padti

Bethi rehti hai ye aankhein
Jinke intezaar me subah shaam

Wohi shaksiyat humse door jaake
Apna ghar basa bethi

Badnaseeb hum hai ya wo
Samajh nahi aa paya ab tak

Humse judaa hokar wo
Humari galtiyo ka hisaab laga bethi

Ek aaine me dekha tha kabhi
Unke sath apna chehra

Wo mitti me jaake
Humari yaado ko gaad bethi

Rona chaah dil ne bohot
Magar ro na paya

Kehna to chaah khud ka haal magar
Wo zubaan humari band karwa bethi

Cheenkar humse hume hi
Kehti hai tum badal gye

Ab hum kya kahe ki
Aap humse khud ka dil laga bethi

Khoobsurat hai bohot wo sab
Jo karta hai barbaad hume

Kya hai baat isme
Humari barbadiyan unhe khush kar bethi