Bina keemat ke is jahan me
Koi cheez nahi milti
Deedaar ki bhi yahan
Ek keemat chukani hai padti
Bethi rehti hai ye aankhein
Jinke intezaar me subah shaam
Wohi shaksiyat humse door jaake
Apna ghar basa bethi
Badnaseeb hum hai ya wo
Samajh nahi aa paya ab tak
Humse judaa hokar wo
Humari galtiyo ka hisaab laga bethi
Ek aaine me dekha tha kabhi
Unke sath apna chehra
Wo mitti me jaake
Humari yaado ko gaad bethi
Rona chaah dil ne bohot
Magar ro na paya
Kehna to chaah khud ka haal magar
Wo zubaan humari band karwa bethi
Cheenkar humse hume hi
Kehti hai tum badal gye
Ab hum kya kahe ki
Aap humse khud ka dil laga bethi
Khoobsurat hai bohot wo sab
Jo karta hai barbaad hume
Kya hai baat isme
Humari barbadiyan unhe khush kar bethi