Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Monday, May 13, 2013

is taraf aur us taraf ki kahaani..


ek oor koi kisi ko itni mohobbat karta hai
dusri taraf koi kisi ko thukra deta hai,
ek taraf koi dil jod ta hai
to dusri oor koi kisi ka dil tod deta hai,
ek taraf sannato me bhi gehri khwahishe panapti hai
to dusri oor mehfilo me bhi koi tanha reh jaata hai,
ek taraf mohobbat ke koi daire nahi hai
to dusri oor humesha daire me mohobbat ki jaati hai,
ek taraf bechani kisi ki mohobbat se aati hai
to dusri oor koi nafrat se bechani de deta hai,
ek taraf itna intezaar karta hai koi
to dusri oor sirf intezaar karwaaya jaata hai,
ek taraf chaahke bhi nafrate adaa nahi hoti
to dusri oor mohobbate adaa karne me koi takleef bata deta hai,
ek taraf mann armaano se bhara hota hai
to dusri oor koi khaali bata deta hai,
ek taraf sheeshe ka dil liye firta hai koi
to dusri oor pathar ka koi bana hota hai,
ek taraf koi jism ki khushbu bayaan karta hai
to dusri oor rooh se hai nafrate ye koi batata hai,
ek taraf jeete jee bhi koi kasme waade adaa nahi kar paata
aur dusri oor koi marke bhi apna farz nibha jaata hai..

Saturday, May 11, 2013

MAA

kaise tu har baat mujhko samjha deti hai
kaise tu pyaar se mujhko behla deti hai
kaise tu gusse me bhi pyaar jhalkaati hai
kaise tu meri har khwahish poori kar jaati hai
kaise tu mere khaatir raat raat bhar jagti hai
kaise tu mere har sapne ko poora karne ke liye apne sapne tod deti hai
kaise tu mujhse bina kuch chaahe sab kuch kar deti hai
aakhir ye bata kaise tu mujhko sambhaal leti hai
itni khoobsurat hai tu
'MAA' kaise tu mujhko har galti ke liye baar baar maafi de deti hai

kyu tu meri har baat ko itna tavvajo deti hai
kyu tu mere bina bole mere mann ko samajh jaati hai
kar nahi sakta kabhi adaa jo tune diya
par sach kehta hu roz subah khuda me tu hi dikhaayi deti hai..

Friday, May 10, 2013

khush nahi ho kya

kyu roz mere dil me jeene ki tamanna jagaa dete ho
roz mujhe marta dekh khush nahi ho kya?
kyu roz wohi chaahte mere dil me jagaate ho
roz meri tabaahi se khush nahi ho kya?
kyu aaj bhi dete ho pal pal mujhe gum
chaahat ke aankhon me bhare samundar se khush nahi ho kya?
kyu roz mujhe subah jagaane ka naatak karte ho
mere na jaagne se khush nahi ho kya?
kyu roz usi tamanna se mehek uthte ho mere aashiyaane me
kya mere maatam pe bhi khush nahi ho kya?
ab batao kya karu main tumhara sath dene ke liye
maut ke baad bhi maut dene se khush nahi ho kya?

Saturday, April 13, 2013

tere bina bhi chal raha tha

Jhoolte the tum kabhi jin kandho pe
aaj unhi pe tumhe chod aaya

kehte to the tum humesha ki humse door jaaoge
par pata nahi tha ki aise farz nibhaoge

tumhe to humesha se sirf maine hi chaah tha
par aaj tumhara bhoj chaar kandho se baanta tha

maanta hu fir bhi khud ko khushbaseeb
ki aakhri waqt me bhi tumhare saath nazar aaya tha

kaise lakdiyo se tumhe dhaka tha
ye sirf mujhe hi nazar aaya tha

kuch hak na dete hue bhi itna bada hak tum mujhe de gaye
ye kaisi adaa se tum apni mohobbat mere naam kar gaye

jab lagaayi aag tumhari deh ko
to socha usi me jal jau..
par pehle hi itna jal chuka tha to socha
aur kaise jal pau..

dekh nahi paaya jab tumhe jaata hua
to adhoora tumhe chod aaya

main tumhe raakh banta dekh
apni raahein mod aaya

wahan tum dheere dheere raakh ban rhe the
ya main bin jale jal raha tha

reh gayi hogi shayad kuch kami meri hi chaahto ki inaayto me
tabhi to main tere bina bhi chal raha tha..

Thursday, April 11, 2013

khuda bhi iska gawaah ho gya

mere pyaar kahan hai tu
kyu tu mujhse itna door ho gaya

kya thi teri khwaahishe mujhse
jo to itna majboor ho gaya

chaaha tha tujhe to maine bepanah
kya tujhe chaahna hi meri khata ho gaya

mere majboor dil ki haalat samajh
kyu bin kuch kahe yu khafa ho gaya

tujhse karni chaahi kayi baate dil ki
par tu humesha se hi mujhse alag ho gaya'

ab to bas teri khushiyo ki duyaaein karte hai
kyuki tere mera ye faasla jo ho gaya

ab main kya keh sakta hu
bas ye jaanle ki humesha tere liye kuch to rahunga

ek acha saathi nahi ban paaya to kya
door se hi pyaar nibhaunga

hai is rishte me dum bohot
tabhi to khuda bhi iska gawah ho gaya..


jodna chaahte hai wo silsila aaj bhi jinhe nibhaye arse ho gye...

duniya ki is daud me hum bhi shaamil ho gaye
ab unko chode hue kayi arse ho gye

bhaagta rehta hu na jaane kya paane ko
manzile dekhe hue bhi arse ho gye

bas khalish si hai kuch dil me jo rukne nahi deti
warna mare hue to hume bhi arse ho gye

ek deep jalaaye chal rha hu is andher nagri me
warna ujaala dekhe to arse ho gye

chaahte aaj bhi hai us shaks ki is dil me basi hui
yu to usey door hue arse ho gye

maana saath nibhaane ko hai laakhon yaha
par aaj bhi yaad hai hume wo waade jinhe kiye hue arse ho gye

roz raat yu to beh la lete hai hum kisi ki aahosh me
par bikhre hue to arse ho gye

koshishe jaari hai humari us maala ko pirohne ki
jisey toote hue arse ho gye

miley kisi ko kabhi wo shaks to batana unhe,
jodna chaahte hai hum aaj bhi wo silsila,
jisey nibhaate hue arse ho gye..

ab to bas yehi sochke jeete hai hum..

pyaar ki talaash thi mujhe
par har jagah bas jism ki bhook mili

chaaha tha kisi ko sookhe patte ki taraah
par badle me bas tadap ki aag mili

jal jalke hosh gawah baitha main
par badle me bas gaali dhutkaar mili

karna chaaha khatam apne aap ko
usme bhi na arzi unki poori mili

socha tha zindgi bhar unke pyaar ke sahaare jee lenge
par zindgi me bas tanhai mili

jab is toote dil ko dafnaane ja rha tha main
us gali me bhi unki parchaayi mili

aabad karne ki koshishe karta raha umar bhar
par ishq me bas barbaadi mili

chaaha chaahke fanna ho gye hum
par kya fark padta hai badle me to bas maar hi mili

chod di jeevan pe aisi parchaayi unhone
ki is dil ko fir koi aur na mili

ab to bas yehi sochke jee liya karte hai hum
ki ranjhaa ko bhi heer kahan mili..