Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Thursday, November 25, 2010

kya baat thi...

mil jaati ye zindgi
to kya baat thi,
mil jaata kisi k pyaar ka sath
to kya baat thi,
mil jaata koi aisa
jo na dekhta mere sath rehne k liye kuch bhi
to kya baat thi,
tadap tadap kr jiya hu main koi sambhal leta mujko
to kya baat thi,
pyaar kiya jisse maine kar leta wo bhi agar mujse ishq
to kya baat thi,
mil to jaati hai khushiya sabko par koi le leta mere saare gum
to kya baat thi,
mere galat kaam krne ki wajah koi samajh jaata
to kya baat thi,
mere in jazbaato ko koi pyaar bhara roop de deta
to kya baat thi,
gehrayi me chupe hai sadiyon se jo ansu unko nikalke koi apna bana leta
to kya baat thi,
mere marne pe koi apni saansein meri bana deta
to kya baat thi,
muje koi kabhi apne kareeb ake jazbaato ka izhar krne deta
to kya baat thi,
kr diya maine sabke liye jitna tha mumkin wo mujhe badle me sath hi de dete
to kya baat thi,
aag me jalta raha main raat bhar koi ake thandak de deta
to kya baat thi,
mushkilo se guzra hu har dum koi sath mere chal leta
to kya baat thi,
intezaar krta raha hu jiska sadiyo se wo aaj bhi intezaar krwata hai
agar aisa na hota
to kya baat thi,
guzre hue lamhe theek beet jaate
to kya baat thi,
aane wale kal ki fikar na hoti
to kya baat thi,
mere liye bhi hote bhale hi na saare par kuch aisho aaram
to kya baat thi,
badhne deta muje koi in chaar deewaron se agey
to kya baat thi,
choone deta jaake ye aasman sunehra
to kya baat thi,
maa baap dete mujko har kadam pe sahara
to kya baat thi,
hota mera bhi bada bhai jo lad leta saari duniya se mere liye
to kya baat thi,
hoti meri bhi behen jo sunti mujo aur samjhati rehti har dum
to kya baat thi,
hota koi itna pyaar dene wala ki pyaar ki kami mehsus na hoti
to kya baat thi,
bhar deta mere andher bhare jeevan me koi roshni apne aane se
to kya baat thi,
koi apni khushi ko tyaag ke mera gum baatne aata
to kya baat thi,
koi sirf kaam k liye mujse rishta na rakhta balki humesha mera haal puchta
to kya baat thi,
lad leta main duniya se uske liye agar wo mere sath to hoti
par aisa na hai,
bas kismat hoti achi to kya baat thi...

mere jeevan ki sachai hai...

pyaar nahi paaya hai kabhi
har waqt nafrat dekhi hai,
eeto ke is makaan me
maine mitti utarti dekhi hai,

chahat ki maine humesha
par nafrat hi paayi hai,
pyaar ke har ehsaas me
maine gaali hi khayi hai,

chalta tha main baarish me
fir bhi dhup hi paayi hai,
na jaane kya khel hai bhagwan ka
ki maine jeevan me dukh ki ganga paayi hai,

yaad hai muje bachpan apna
aur pata hai muje jeevan apna
jahan har mod pe kathinayi hai,
rengta sambhalta chalta hu
par fir bhi jaise registaan me khayi hai,

pyaar karu to kise kru
ye badi samasya aayi hai,
apne nahi apne hote
to dusro ki kya buraayi hai,

apno ne hi muje humesha thukraya
to fir aaj firse kyu aankh bhar ayi hai,
samajh gya tha saalo pehle inke iraado ko
fir bhi na jaane kyu maine umeed aaj bhi lagayi hai,

kehte hai acha karo to acha hoga
bas isi baat pe zindgi maine chalayi hai,
kabhi acha to nahi paaya
par dusro ko bohot kuch dene ki koshish ki is baat ki khushi hai,

apno ki nagri me bhi kaisa hai ye jeevan
jahan har mod pe aazmaish hai,
bethe raho chup chap inke saamne to theek
warna rehna inke sath bhi ek saazish hai,

naadan tha main jo maanta tha inhe apna
inhone to apni asli shakal chupaayi hai,
kuch nahi kia inhone jeevan me
bas har ek ko dukh ki ganga pohochayi hai,

sath rehke kar dete hai tanha ye
umra bhar ki ye gehrayi hai,
tum nahi samajh paoge isko
ye mere jeevan ki ek sachai hai...!!!

dil bhi tod jaati hai...

dikhlati hai jo aks wo mujko,
to tanha kyu kar jaati hai,
yaad dilati hai mujko apni,
fir ruswa kyu kar jaati hai...

bhari mehfil me pyaar karke,
akele me katl-e-aam kyu kar jaati hai,
likha hai kismat me agar ye,
to uske ane ki umeed kyu reh jaati hai...

jaana hi hai usko chodke,
to wapas hi kyu aati hai,
ati bhi hai baar baar,
to das ke kyu chali jaati hai...

reh gyi hai kami humare pyaar me to bataye hume,
magar nas nas me nafrat kyu bhar jaati hai,
rishte to kuch dhage hai,
wo to dil bhi tod jaati hai...

Friday, November 5, 2010

aazad panchi...

aazad panchi hu main ab na rokna mujko,
toota hua ek taara hu ab na tokna mujko,
zarurat pade to aawaz dena,
par apne dil ki gehraiyon me ab na dhundna mujko..

banake rakhna ankho ka kaajal mujko,
sambhal k rakhna dil ki dhadkano me mujko,
mann kare to pukaar lena,
par aaj k baad na choona mujko..

baaton me yaad rakhna mujko,
yaadon me sath rakhna mujko,
mann kare to ro lena,
par aaj k baad na tabah karna mujko..

saari mushkilo me agey kar dena mujko,
chahat ho to doshi bhi bana dena mujko,
mann kare to jaan le lena,
par aaj k baad na tadpana mujko..

khuda se tu maang lena mujko,
sabse tu cheen lena mujko,
mann kare to chorr dena,
par aaj k baad na satana mujko..

gunehgaar thehra dena mujko,
saari galtiya meri bata dena mujko,
mann kare to apni galtiya bhi sudhar lena,
par aaj k baad na behlana mujko..

aazad panchi hu main ab na rokna mujko,
toota hua ek taara hu ab na tokna mujko....!!

Monday, November 1, 2010

shukriya zindgi...

ban jaata main bi aazad panchi,
agar tumne is dhund se nikalkar muje khule aasman me udne diya hota

sawaar leta main bi apne khwaab ko,
agar tumne muje baadlo pe baithaya to hota

main bi cheerke agey nikalta in lehron se,
agar tumne mujhe kashti chalana sikhaya to hota

main is manjhdar me aaj na hota,
agar tumne kathinaiyo ka dher mujpe daala na hota

main bi aj muskura raha hota,
agar tumne zulm mujpe itna kiye na hota

aaj main bi apne dard ko dikha raha hota,
agar tumne muje jhoota hasna sikhaya na hota

aaj main bi buzdil logon ki tarah betha hota,
agar tumne muje bachpan me darr dikhaya na hota

aaj main tadap raha hota kisi ki yaad me,
agar tumne muje bhulana sikhaya na hota

aaj main ro raha hota bohot apni zindgi pe,
agar tumne muje majboor logon se milwaya na hota

aaj main bi jhuth aur fareb karta,
agar tumne sachai ka parda hataya na hota

aaj main bi kisi ke jazbaato se khelta,
agar tumne muje dard ka ehsaas karaya na hota

shukriya hai tera ae zindgi
aaj main jo bhi hu main wo na hota
agar tumne muje aazmaya na hota...!!!