ban jaata main bi aazad panchi,
agar tumne is dhund se nikalkar muje khule aasman me udne diya hota
sawaar leta main bi apne khwaab ko,
agar tumne muje baadlo pe baithaya to hota
main bi cheerke agey nikalta in lehron se,
agar tumne mujhe kashti chalana sikhaya to hota
main is manjhdar me aaj na hota,
agar tumne kathinaiyo ka dher mujpe daala na hota
main bi aj muskura raha hota,
agar tumne zulm mujpe itna kiye na hota
aaj main bi apne dard ko dikha raha hota,
agar tumne muje jhoota hasna sikhaya na hota
aaj main bi buzdil logon ki tarah betha hota,
agar tumne muje bachpan me darr dikhaya na hota
aaj main tadap raha hota kisi ki yaad me,
agar tumne muje bhulana sikhaya na hota
aaj main ro raha hota bohot apni zindgi pe,
agar tumne muje majboor logon se milwaya na hota
aaj main bi jhuth aur fareb karta,
agar tumne sachai ka parda hataya na hota
aaj main bi kisi ke jazbaato se khelta,
agar tumne muje dard ka ehsaas karaya na hota
shukriya hai tera ae zindgi
aaj main jo bhi hu main wo na hota
agar tumne muje aazmaya na hota...!!!
Monday, November 1, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment