log khushi aur dukh me antar kar
agey bhad jaate hai,
hum dukh dekh
usi pe latak jaate hai,
log haste haste jeevan
vyateet krna chahte hai,
hum jeevan ki gehraiyo me se
pehle gum nikaalke fekna chahte hai
log vyakul hokar bhi
dikhana nahi chahte,
hum to seedha apne mann ki baat
likh prakat karte hai
log ghumte hai firte hai
dosto pe marte hai,
hume to duniya se hi fursat nahi
duniya k liye khud ka bhi tyaag krte hai
log bas apne dukho ko
dusro k saamne rote hai,
hum to apne dukho se aapke dukho ka
andaaza laga bethte hai
log aapse dosti k badle
kuch to aasha rakhte hai,
hum to sabse dosti karte hai
aur bas yehi aasha karte hai
ki aap humari likhi panktiya pada kare
isiliye hi to hum
mehnet kiya karte hai
yehi farak hai logon me aur hum likhne walon me
wo khudaa se roz raat apni bhalaayi maangte hai,
aur hum sabki khushi
maanga karte hai...!!
Thursday, December 22, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
awesum yr seriously hats off...bht mst hai yr
ReplyDelete