Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Monday, July 16, 2012

tu laut chalaa ayega..


kisi ne humse keh diya
ki hum unke aansuon ke layak bhi nahi

agar wo aisa sochte hai
to aisa hi sahi

par kya unhe pata hai
rishte baar baar nahi mil jaate kisi mod pe kahin

par kya karte jab vishwas hi nahi tha
to hum bhi chod aye us rishte ko wahin

humne bhi kabhi socha na tha
aisa bhi waqt ayega

kahin majburiyo se nikalkar
aise humko fasaaya jayega

kabhi kisi oor to kabhi kisi oor
le jaya jayega

loot kar bhi mujko
baar baar loota jayega

kisne socha tha ki rishto pe
aisa saaya chaayega

jo laata tha kabhi khushiya
wo itne dukh bhare nagme leke ayega

sach bolu to aaj bhi ye lagta hai
ki ye rishta meri zindgi me chaayega

par pata nahi ab kaise
ye mumkin ho paayega

kehte hai ek haath se nahi bajti taali
isliye na jaane kab wo doosra hath sath ayega

sath aaye bhi to aisa aaye
ki mere sath ko samajh payega

sach kehta hu dil se
kabhi dil tujhe nahi bhula paayega

par kya thi meri majburiya
kya tu aaj bhi ye samajh paayega

bohot se musaafir aye zindgi me
par pata na tha tu kuch khaas ban jayega

dil ko hai ab bhi vishwas
ki tu meri nazar se dekh ke samajhke
wapas is rishte me laut chala ayega...!!

No comments:

Post a Comment