Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Tuesday, August 14, 2012

aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena

aaj raat akhiri baat kar rha hu
jo maangu wo de dena
jo puchu wo bata dena
magar ye zarur sikhla dena
ye mujhko sikhla dena..
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena....



tumhari yaadon ko main kaise sametu
ye mujhko batla dena
aaj raat ko ye mujhko
zarur sikhla dena


naata tod do
baat karna chod do
ye mujhko manzoor hai
magar main kaise tumhe bhuladu
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


aankhein band karu
tu na nazar aye
ye mujhko manzoor hai
magar kaise main duniya dekhu
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tumne kaha aasani se
ki mujhko bhul jao
tumko main bhul jau
ye mujhko manzoor hai
magar main kaise saas lena chod du
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


pyaar kiya izhaar kiya
tumne kaha dost hi sahi hum
tumhari taraf se dosti hi sahi
ye mujhko manzoor hai
magar bina pyaar ke dosti kaise nibhau
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


khubsurat hai aap
isme koi shak nahi
isko saabit karne k liye apni jaan dedu
ye mujhko manzoor hai
magar mere marne k baad
apki tareef kaun karega
aapka khayal kaun rakhega
aapse itna pyar kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena





chahat hai aapse sabse zyada
ap kehti hai us chahat ko tod dena
us naate ko chod dena
ye mujhko manzoor hai
lekin aisi chahat apko kaun dega
aapse aisa naata kaun rakhega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


doob gya hu main tere ishq me itna
jaise paagal doob jata hai gehrai me jitna
tum bhale hi muje paagal kehke thukra do
ye mujhko manzoor hai
lekin tumhe paaglo ki tarah mohobbat kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhse maine thoda waqt kya maang liya
tune kaha mere paas tere liye waqt nahi
ye bi mujhko manzoor hai
lekin tumhe aisa saathi kahan milega
jo tumse itna kum waqt maangega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


maine tumse sunne chahe pyaar ke do bol
apne dil ke har raaz ko dia tumhare saamne khol
tumne fir bi kuch na kaha
ye mujhko manzoor hai
par kaun tumhari khamoshi ko pehchanega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhse teri shikayat jo maine kardi
tune mujhse baat karni hi band kardi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun sahega tere pyaar k liye itna kuch
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


galti hui jab bhi teri
wo galti maine banali meri
tujhse bewajah maafi maangi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kahan milega tujhe koi
jo teri galti ko apna banale
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


hai bohot dukh aj is dil ko
pyaar karta hai ye bepanah jisko
wohi tod deta hai baar baar isko
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun tumse baar baar apna dil tudwayega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhe humesha bepanah pyaar kiya hai
uth uth k raato me tujhe yaad kiya hai
fir bhi tu nahi samjhi mujhko
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun karega is kadar tera intezar
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


yaad hai mujhe wo beete lamhe
yaad hai mujhe wo sabhi baatein
jab tu mujhe rula jaati thi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun tere liye itna royega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


saalon se tera intezaar kia hai
humesha tujhse hi pyaar kia hai
fir bi tu kehti hai tumne kiya hi kya hai
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin isse zyada tere liye kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


isse zyada na kisi ne tujhse pyaar kiya hoga
na koi kar payega
agar koi aisa mil jaye
to mujhko batla dena
aj raat zarur usey mujhse milwa dena...........!!!


For my love... I love u always with all my heart.. n will continue doing so till the last breath of my life

HAPPY INDEPENDENCE DAY

aazadi ka hai daur magar,
koi nahi hai aazad yaha.

sookhe bikhre is desh me,
kuch nahi hai bacha jaha.

yu to hai apni mitti apna desh,
bachpan se hu raha yaha.

par kya karu idhar jeeke,
apno ka hi na ho samman jaha.

kehte hai sone ki chidiya,
jo bhi aata hai rehne yaha.

par na reh gya ab sona na hi hai chidiya,
na hi hai desh utna ucha pehle tha wo jaha.

karta hu sabse guzarish,
jo bhi rehte hai yaha.

kar sako to thoda karo is desh k liye,
wahi rehke kuch karo ho jaha.

kehlaata hu is desh ko aaj bhi mahaan,
kyuki rehta hu yaha.

nahi kara shayad humne kuch iske liye,
par rakha hai hume is desh ne sambhalke hum rahe ho jab jab jaha...!!

Sunday, August 5, 2012

hume to wo umra bhar ke liye tanha kar gya

aaj fir koi mujhko sikhla gya
pyaar ka paath apne aksharo me pada gya

kuch keemat nahi mere aansuo ki ye bhi samjha gya
kya kadar hai jazbaato ki ye bhi wo batla gya


kyu apna mukaddar uske liye fir bhi khota hu
kyu raaton me bhi aankhein khol sota hu


kya main uski chahto ko aaj bhi chahta hu
kyu uski di hui har cheez aaj bhi seene se lagata hu


bhul jaana chahta hu sab
fir bhi jaane kyu sab baar baar yaad aata hai
aata to hai rona bohot
fir bhi sath rehna hai humesha bas yehi mann me aata hai


iske bawjood kaise wo hume ek pal me paagal bata deta hai
humari baat ko bakwas bol ek baar me chup karwa deta hai

sunta to hai humari baat par usko kabhi nahi nibhaata hai
chalta to hai ye rishta par shaayad usko nahi bhaata hai


tabhi har baat pe wo isko todne ki fariyaade karte hai
theek usi pal hum unse sada jude rehne ki chaah karte hai

wo hume sataate sataate baaz nahi aate
par hum bhi apni poori jaan laga dete hai

lekin rishte ko jab jab todne ki baat wo krte hai
hum bhi andar tak toot jaaya karte hai


sahi kehte hai wo
hum hai hi paagal

kyuki tab bhi hum himmat jodkar
khud ko sambhalkar
toote hue dil ko manaakar
poore saahas se uska saamna kiya karte hai


fir bhi wo hai kathor bohot
humpe aaj bhi barsa karte hai


kya itna kuch maang bethe hum unse
ki wo hume itna bhi na de sake
ya itna haq bhi nahi hai hume
ki hum unse itna maang sake


shaayad nahi hai itna bhi haq
tabhi to wo aaj bol bethe
jaa tod de ye rishta
nahi hai mere paas tere liye waqt

karle jo karna hai
main nahi badlunga
main har baar
tujpe aise hi barsunga


kya bolta main
bas sunta chala gya

jaate jaate bhi wo mujko rula gya
kuch dard k aansu pila gya
maana bohot hai uske chahne wale
par hume to wo umra bhar ke liye tanha kar gya..!!

door tum itna na jhona.. ki hume pad jaye khona..

door tum itna na hona
ki hume pad jaaye khona

paas bhi tum itna na rehna
ki door jao to pad jaye sehna

rehna magar banke gehna
muje hai tumse bas ye kehna

tum bin hai na chaina
tum bin kate na raina

tumko hi hai chaaha
tumko hi hai paana

tumko hi hai maanga
tumko hi hai apnaana

bas door tum itna na hona
ki hume pad jaaye khona..!!