aaj fir koi mujhko sikhla gya
pyaar ka paath apne aksharo me pada gya
kuch keemat nahi mere aansuo ki ye bhi samjha gya
kya kadar hai jazbaato ki ye bhi wo batla gya
kyu apna mukaddar uske liye fir bhi khota hu
kyu raaton me bhi aankhein khol sota hu
kya main uski chahto ko aaj bhi chahta hu
kyu uski di hui har cheez aaj bhi seene se lagata hu
bhul jaana chahta hu sab
fir bhi jaane kyu sab baar baar yaad aata hai
aata to hai rona bohot
fir bhi sath rehna hai humesha bas yehi mann me aata hai
iske bawjood kaise wo hume ek pal me paagal bata deta hai
humari baat ko bakwas bol ek baar me chup karwa deta hai
sunta to hai humari baat par usko kabhi nahi nibhaata hai
chalta to hai ye rishta par shaayad usko nahi bhaata hai
tabhi har baat pe wo isko todne ki fariyaade karte hai
theek usi pal hum unse sada jude rehne ki chaah karte hai
wo hume sataate sataate baaz nahi aate
par hum bhi apni poori jaan laga dete hai
lekin rishte ko jab jab todne ki baat wo krte hai
hum bhi andar tak toot jaaya karte hai
sahi kehte hai wo
hum hai hi paagal
kyuki tab bhi hum himmat jodkar
khud ko sambhalkar
toote hue dil ko manaakar
poore saahas se uska saamna kiya karte hai
fir bhi wo hai kathor bohot
humpe aaj bhi barsa karte hai
kya itna kuch maang bethe hum unse
ki wo hume itna bhi na de sake
ya itna haq bhi nahi hai hume
ki hum unse itna maang sake
shaayad nahi hai itna bhi haq
tabhi to wo aaj bol bethe
jaa tod de ye rishta
nahi hai mere paas tere liye waqt
karle jo karna hai
main nahi badlunga
main har baar
tujpe aise hi barsunga
kya bolta main
bas sunta chala gya
jaate jaate bhi wo mujko rula gya
kuch dard k aansu pila gya
maana bohot hai uske chahne wale
par hume to wo umra bhar ke liye tanha kar gya..!!

No comments:
Post a Comment