Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Tuesday, December 9, 2014

aye watan main tere liye.. mar mit bhi jaunga

sikhaya tha guru ne jo
usko main dunga mol sada

mit jau bhale hi jeevan me
dunga usko tol sada

ho nahi sakta wo galat
jo khud sach pe raha adaa

tu hi bata main usko bhul
du kadam apna kaise bhada

main nahi karta hu
na main kar paunga paida

chal kapat aur ye
deshdroh ki bhaavna

fir chaahe jo ho anjaam
kar aaunga main khud hi hisaab

tum socho jitna bhi
dara loge tum mujhe

par main hu ek sach
bada hua guru ki shiksha se

mujhko na tum bech paoge
na mujhse bikwa paoge

hai ye jo tumhari kala
ye jo hai bhaavna

de doge hisaab tum us khuda ko shayad
tol molke doge mana

par na ghul paoge tum is
watan ki mitti me kabhi

na hi mil paoge tum
is watan ke shudh paani se

batao fir kya hi hua
mol tumhari harkato ka

chup chaap jo le lia
khuda ne khud hisaab
tumhari harkato ka

main nahi bolunga
na main kabhi bol paunga

kya kya rahe tum karte
main nahi shayad samjha paunga

kya kya hai tumhare iraade
kya hai tumhari daastanein

main nahi bolunga
main nahi samjha paunga

main to bas hu ek kavi
yu hi likhta chala jaunga

maaf karna aye khuda mujhe
jo main kahin galat ho jaunga

par aye watan main tere liye
mar mit bhi jaunga

aye watan main tere liye
mar mit bhi jaunga

hai nahi parwah mujhe is jaan ki
par hai parwah aye watan tere imaan ki

main na hota tha
na main ho paunga

tujhse judaa aur teri mitti ki
is khushboo se door na reh paunga

ho na jagah meri soch ki jo is duniya me
to ghol dena aye dosto mujhe is watan ki mitti me

maatrabhoomi se milkar main
khud me hi yu khil jaaunga

kya kahoon main tujhse aye dost
ek jeevan main wo naya paunga

zyaada kuch to kar na paaya
main aye watan tere liye

de na paaya
le na paaya

de na paaya khud ki jaan
le na paaya dushman ki jaan

aye watan tere liye

par apne lekh main tere liye
yu hi likhta chala jaunga


main to hu ek tera banaya hua
jo bhi hu sab karam milakar tujhme hi mil jaunga

kar lena tu sweekar mujhe
main tere bin na reh paunga

tujhme ghulke hi main desh prem ki
keemat shayad in sabko samjha paunga

jo hai ghumte rehte do chaar kaagaz ke tukdo ke liye umr bhar
unko shaayad main ye batla paunga

maatrabhoomi ki god me hi prem ki wo aas hai
jiski sadaa se hi mujhko pyaas hai talaash hai

aye watan sweekarna mujhko mere karmo sahit
tujhko main mol dunga
aur na kabhi tolunga, rahegi ye mohobbat tujhse sada
mere dil me yun hi

main to tere liye hi bana hu
main to hu hissa tera

lele tu meri aahuti aur
chalta rahe shaan se

bas hai yahi chaahat
aye watan maru main teri god me

de meri maut ek sandesh un sabko
jo soche bethe hai marenge wo noton ki god me..


No comments:

Post a Comment