Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Tuesday, June 16, 2015

ye waada hai jisse main mukarta nahin..

Sab kuch laake dedu tere kadmo me
Ye waada to main karta nahi
Magar hai jo mera wo sab kardu tere naam
Ye waada hai jisse kabhi mukarta nahi
Har subah har shaam rahun tere paas
ye waada to main karta nahi
Magar rakhunga Tujhko dil me sada basaake
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Har pal nayi baat karu tujhse
ye waada to main karta nahi
Magar har baat tujhe batake karu
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Tujhe har pal hasaane ka waada
To main karta nahi
Magar koi rulayega nahi kabhi tujhe
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Saat janmo tak saath rahu
Ye waada to main karta nahi
Magar jab tak hai jaan meri har saas hai teri
Ye waada hai jisse mukarta nahi
Kabhi doob jaana mere chahat ke samundar me
Le chalunga is duniya se kahin door
Ye hai waada jisse main mukarta nahi..

No comments:

Post a Comment