kya chahat thi meri
kya wafa thi meri
kya zindgi thi meri
mila tha muje tu
ek pyaara sa dost banke
jud gya mujhse tu
ek pyaari si chahat banke
kya dekha maine tujhme
jo mere liye sabse keemti ban gya tu
wafa maine saari tere naam kardi
ye dil bhi maine tere nam kar dia
bachi thi ye zindgi wo bhi tere naam kardi
fir bhi na jaane kyu hu main pareshan
bhaag rha hu apne se ya bhaag rha hu tujhse
door kahi jaane ko jee karta hai
kisi ko apna na banane ka jee krta hai
aj ye zindgi khud k liye jeene ka mann karta hai
par khud k liye jiyunga to tera naam khud hi yaad a jaata hai
kaisa hai ye pyaar
jo kar rha hai mujhe bekaraar
kaisa hai ye pyaar
jo paake bhi main gya haar
kyu hai sab aisa
ki lagta hai sab tujh jaisa
kya kashish hai ye
kya aalam hai ye
kya waqt hai ye
aur kya chahat hai ye
jo khud k liye bhi sochke
tera hi naam labon pe aata hai
kyu baar baar haar ke bhi
ye dil tujhse jeetne ki umeed laga leta hai
aur kyu har baar takraar k baad
ek naye din ka naye tareeke se shuruat karta hai
kya main tujhse darta hu
ya main tujhpe itna marta hu
jo sab kuch haarke bhi
ye dil tujhpe nisaar karta hu
dost thi tu meri
chahat ban gyi fir tu meri
wafa thi tu meri
pyaar ban gyi fir tu meri
ishq karta hu tujhse
aur karta rahunga
humesha marta raha hu tujhpe
aur marta rahunga
tu bhi karti hai ishq mujhse meri jaan
par kya karu is dil ki chahte tujhse hai kahi zyada
aur wo chahte tere dil me bhi dekhna chahta hu
ishq ki wo aag jo hai mere seene me
wo main tere rooh me bhi dekhna chahta hu
tujhse nahi karna chahta main koi shikayat
na hi main tujhe dena chahta hu koi dukh
tu bol agar tujhe mujhse hai koi shikayat
sab door karke de dunga main tujhe duniya ke saare sukh
mujse kabhi koi khata hui ho to maaf kar dena
meri saari galtiyo ko bhul samajhke bhula dena
par tujhse main ek hi umeed rakhta hu
dil kare kabhi to jagana apne dil me bhi wo khwahishe
jise dekhne ke liye main pal pal marta hu
jise chahne ke liye main har pal marta hu
jaanta hu tu hai auro se bohot alag
par fir bhi tujhse umeed lagaye baitha hu
main gareeb ki basti k bahr daulat ki aas lagaye baitha hu
jaata hu main jidhar bhi
paata hu tujhko hi
kya karu main tu bata mujhko
har waqt ye nazre dekhti hai tujhko hi
sota hu main to teri yaad ati hai
aake is dil ko bada tadpaati hai
jaagta hu main subah ko
to sath teri parchayi bhi a jaati hai
chalta hu main kahi
to firse teri yaad a jaati hai
akela paata hu apne aap ko har raah me
kyuki is zindgi me teri kami mehsus hoti hai
maanta hu chahta hu tujhko bepanah
intezaar kar sakta hu tere liye har lamha
par mere bhi kuch armaan hai
meri bhi kuch khwahishe hai
mere bhi kuch khwab hai
meri bhi kuch umeede hai
unko tu kabhi samajh zara
unko tu kabhi dekh zara
dekh meri aankho me
kya dikhayi deta hai
sun meri dhadkan ko
kya sunaayi deta hai
aankho me tera chehra rehta hai
aur dhadkan me teri yaad rehti hai
ae jaane jaan tu hi bata
kaise main khud k liye jiyu
kaise main kuch umeed na karu tujhse
jab tu judaa hai kuch aise mujhse
main apne aks ko dhundne bethta hu
to wo tujhme hi nazar aata hai
main apni chahte sochne bethta hu
to tera hi chehra nazar aata hai
kya hai ye
kyu hai ye
sirf itna batade tu
ye aks mujhko mera dede
nahi to humesha ke liye gale se lagale tu
mere saare armaan pure karde tu
jaise maine tod dia hai har bandhan pyaar k liye
us tarah chod de sab kuch mere liye tu
chahat kar mujhse bepanah
aur har lamha bas mere liye jee tu...!!!
Friday, August 27, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment