kuch dil k jazbaat aaj bahr nikalna chahte hai
to socha kuch likh deta hu...
kya kahu main kisi aur se
jab tu hi mujko na samaj paaya
paas rehke bhi maine humesha tujko door paaya
jalta raha teri yaado me par tuje bhool na paaya
ruswa hua lut gya barbaad hua
par mila na muje tera saaya
khali hath main ishq k raste pe laut aya
par jab dekha tuje kisi aur k sath dil me bohot dard samaaya
toot gya ye jaam ishq ka aur dil ko rone se rok na paaya
tujse to kuch keh na paaya
par main bi galtiya kar aaya
mushkil tha apne aap ko sambhalna
to yehi raasta mila to ispe hi chal aaya
dekhte rahe sab mere galat kaamo ko
dil me chupe dard ko koi na jaan paaya
jaan chali gyi meri tuje chahte chahte
par tu fir bhi na muje samaj paaya
duniya ki rasmo pe bhi main khara nahi utar paaya
jab tune thaama mera hath tab bhi main tera ho na paaya
tab bhi log kehte rhe tu nahi hai uske layak
kyuki tu nahi kr skta wo jo usne hai kr dikhlaya
maine chup chaap khada hua muskurata raha
ruswa hua tha aaj tak bhari ishq ki mehfil me
to aj kya fikar jo duniya walo ne hi ruswa kr dikhlaya
kho gya main apne pyaar me
doob gya main apne yaar me
par ek kami mehsus hui
apne liye main kuch bacha hi nahi paaya
sab kuch uske hawale kr dia tha
aur wo humesha mazak me leta raha har baat ko
har jazbaat ko aur har mulakaat ko
aur ek main tha jo tadapta raha yaad krke
un baato jazbaato aur mulakaato ko
kya karta kya na karta kuch na samaj aya
usse waada kia tha nahi honga khafa kabhi tujse
to socha chalo ye to nibha paaya
par duniya ki nazar me to main kuch na kar paaya
wo bhi manzur hai
dukh to is baat ka hai
uski nazar me aaj bhi main na jagmagaya...!!!
Tuesday, December 7, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment