karta raha gard-e-raah-e-safar main ansuon bhara humesha
afreet ki is kashti me tairta raha humesha
chahta tha main bhi shaadaabiyaan
par ho jaata tha majrooh humesha
kuch na pata tha
par chahta raha usey humesha
bhulna chaha mitana chaha
par basi rahi wo mere dil me humesha
socha usko shor-e-aah-o-bukaa du
fir laga usko kyu saza du jo wo mujhe deti rahi humehsa
fir hua kuch chamatkar ek din
jiski aasha krta tha main humesha
wo aayi mere paas
aur kaha rahungi tere sath humesha
main tha khush
kyuki ho gya tha wo jo chahta tha main humesha
par kya pata tha aisa bhi hoga
zulmat-afshaaN ayega zindgi me humesha
wo tadpaati rahi
main tadapta raha humesha
wo rulaati rahi
main rota raha humesha
zinda rehke bhi
marta raha mann hi mann humesha
bolna chaha usse bohot kuch
par uski khushi k liye chup ho gya humesha
na jaane kya hoga mera
par pyaar krta rahunga usey humesha
meri tameer khwahishe thukraa degi wo
tab bhi usse khwahishe rakhunga humesha
anjaane me hi sahi bhuladegi agar muje
main yaad usko fir bhi krta rahunga humesha
todti rahegi meri umeedo ko agar har baar
fir bhi main umeede rakhunga humesha...
chahunga tujhe humesha..
zanjeer-e-mahkoomiyat me bhi bandha raha
to bhi tere khwab me aunga main humesha...!!
aur krta rahunga tere liye muntazir humesha..!!
Wednesday, December 15, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment