Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Wednesday, June 8, 2011

ye mukaam tune hi banaya hai...!!!

firse ek aisa din aaya hai
jab dil me khushiyo ka mausam bhar aaya hai

bethe bethe krta tha jiski yaado ka intzar
aj wo hakikat me chala aaya hai

zyada kuch to nahi kar paaya tere liye
par aaj ek saal pura hone aaya hai

ladte jhagadte rote rulate
haske humne har ek pal jeena seekha hai
aur ek baar firse dagmagate sambhalte
is safar me ek sitara joda hai

the tum bhi ek aazad panchi
hum bhi the kuch manmauji se
par aaj dono ne milkar
ek naya jeevan apnaya hai

kahani ki shuruat to ho chuki thi bohot pehle
par badi mushkilo se
mehnet se aur himmat se yha tak
isko humne pohchaya hai
aur aaj ye ek naya mukaam paaya hai

karta hu salaam tujko jhuk kar
karta hu salaam tujhko jhuk kar
ki tune mujko diya hai saara pyaar
aur aaj apni zindgi ka
ek keemti hissa bana daala hai

apne komal se sparsh se
apne ek darsh se
ullas jaga uthti hai teri roshan kirne
jaise suraj khud meri aankho me samaa aata hai

samjhaute kare tune mere khatir
banna pada tuje bhi mere liye shatir
shayad main na de paaya tuje khushi utni
par aaj dil to mera bhi bhar aaya hai

maine tujse kahin waaade kiye
par main bhi un tamam logon ki tarah nikla
jo ki apne pyaar se tyaag krwate rhe
par main nahi hu itna bhi bura
kyuki mujme tera hi to saaya hai

lutkar tu mere pyaar me
ho gyi gumsum
kabhi bethi akele tanha chupchup
par kuch na kaha kabhi mujse tune
isi baat se har baar tere liye pyaar bhad aaya hai

mere khatir tu to ban gyi mere adhro ki pyaala
tujko peeta raha main
apni sharto pe jeeta raha main
par tune bhi kabhi kuch na bola
jaise khali madhushala me koi saaki aaya hai

pyaala mujko raas na aaya
usse mera kaam na ban paaya
maine maangi madira
tune usme bhi kuch na bola
jaise pyaasa koi madira peene aaya hai

jab ho gya main madira ka aadi
tab bhi tune mera sath na choda
tu hi nikla mera sacha saaathi
aur main kya bolu
mera dil bhar aaya hai..
aj tujko paakar sath
sukh ki mere upar ek chaaya hai

kar na sakta hu main
usko bayaan
jo maine tere sath rehke
paaya hai

par yaad rakhna
jaisa bhi ho mera ye dil
ye humesha tumhare sath
rehne ko aaya hai


dhadakta to hai mere seene me
par chalta ye tere liye aaya hai

saas to leta hai mere liye
par bharta ye tujme aaya hai

maine to kahin baar ye sab todna chaha
par tune hi isko bachaya
aur yha tak isko laaya hai

salaam karta hu firse tuje jhuk kar
tune hi to is mukaam ko humare liye banaya hai..!!!

1 comment:

  1. kya bat,,kya bat,,kya bat!!!!
    aaj tak ki teri sabse achi lines....

    ReplyDelete