Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, July 17, 2011

aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai

raat ke is noor ki
tareef krne ka mann karta hai..

chandni ki is chamak me
doob jaane ka mann karta hai..

raat ki akeli roshan raaho me
kho jaane ka mann karta hai..

jo diye hai zakhm us khubsurat ne
unhe khula chorrne ka mann krta hai..

soch lia tha pyaar na krenge hum dobara
magar kya karein
aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai..

hogi kal ek nayi subah
maalum hai mujhko
par fir bhi in andhero me
chup jaane ka mann karta hai..

aayega kal ek naya savera
layega ek naya sandesa
par fir bhi in tanhaiyo me
jeene ka mann karta hai..

sochta hu jab un roshan raato ko
un jaagti subah ko, un khoti shaamo ko
to ek umeed jag uthti hai
magar fir bhi in dhalti raato me
doobne ka mann karta hai..

asmanjas me pad jaata hu kabhi kabhi to
yaha jau ya wahan jau
andhkar kheeche apni oor
suraj bandhe apni door
kya karu kya na karu
ye sochta reh jaata hu
par fir bhi isi raat me
reh jaane ka mann karta hai..

kho jaata hu kabhi kabhi to
in raasto pe
jinhe kabhi milti thi roshan raahein
par fir bhi aaj
inhi pe chalne ka mann karta hai..

bhaag bhaag ke in sabse door
bhaag gya hu apne aap se
jinhe samajhta tha kal tak apni zindgi
sahi maayno me bhag rha hu aaj unse hi
par kya karu kya na karu
aaj bhi samajh nahi aata hai
bas inhi raato me kho jaane ka mann karta hai..

humse puchte hai wo ki
kyu rehte ho andhkar me
jaakar kabhi puche to wo us zaalim se
ki kyu rakhte hai wo hume is andhkar me
jeena to hum bhi nahi chahte kuch aise
par fir bhi aise hi rehne ka mann karta hai..

kehte the kabhi wo humse
marte hai hum to tumpe
par aisa marna bhi kya marna
jo jeene na de
jo un sabhi gumo ko seene na de
jaante hai hum sataaya karte hai wo hume
par fir bhi aaj unse pyaar karne ka mann karta hai..


aur mile koi unhe to bata dena unhe
ki aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai...!!

1 comment: