Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Tuesday, July 26, 2011

adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka...

dil ne bohot roka
bohot toka
par uski sun na paaya
hawa ka aaya ek jhoka
uske sath bhi beh nahi paaya
paaya ek khushi ka dariya
usme bi behke main paar na hua
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!

ek dariya tha jisne muje pukaara tha
usne mujhe bulaaya tha
aur maine usko chaha tha
paas jaata tha to wo sookha muje milta tha
door bhaag aata tha
to wo aur aakarshit karta
is kadar reh gya main tootta bikharta
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!


ek raat ek khwaab aaya tha
dil uski tasveer laaya tha
kabhi usne hasaya
kabhi rulaaya tha
kabhi ek daastan
to kabhi ek kissa sunaaya tha
haste haste hi bikhar gya main
na jaane kaise
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!


ho gyi subah
aa gya ujaala
sooraj chaaya niraala
le aaya ek naya pyaala
jaaga main neend se
jaise taise nashe ko taala
bolte bolte
fir ek baar apne aap ko sambhaaala
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!

din beet te rahe
raatein dhalti rahi
dil toot ta raha
saasein chalti rahi
chehrein pe thi muskaan
par aankhein roti rahi
ek baar fir chalaawa main karta raha
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!

bohot bikhra
bohot sehma
kabhi kabhi darke main
chup bhi betha
par himmat jodi
chala main uske paas
apne dil ka haal bolne
par raste me hi
main apna iraada badal betha
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!

allah tujhko pukaara
ishwar ko bhi yaad kia
waheguru ka naam lia
dil me ishu masi ko basaaya
in sabko milaake aayi mujme firse himmat
bina dare
bina toote
khada hua main fir ek baar
par kismat to dekho
is deewane ki
jisko soch rha tha main hakeekat
wo thi meri badkismat
jab tak himmat aayi pohochne ki uske paas
tab tak main tha allah ke paas
fir ek baar
adhoora hi reh gya wo kissa pyaar ka
wo samajh nahi paayi
aur main bolta chalaa gya....!!

mujko manzooor nahi...

tera mujhse rooth jaana
choti baato pe door jaana
tera mujko yu sataana
badi badi baatein chupaana

mujse salaah na lena
fir mujko yu sunaana
ghum baatna par
sukh ki khabar na dena

mujpe yu barasna
dil yu todna
galti karke na maan na
aur fir mujpe yu bhigadna

tadpaana, jalaana
dil k paas aana
aur paas aake door jaana
tera mere liye nazraana

mera tere liye hasi baatna
to tera mere liye dard kaatna
kabhi mera tere liye kuch laana
to badle me tera taana

ye sab mujko manzoor hai... ye sab mujko manzoor hai...

par is naate ka yu toot jaana
sab kuch yu khatam ho jaana
mujko aaj bhi manzoor nahi

galti meri bhi hai maana
par kyu kiya tune ye
jabki tune mujko tha
sab kuch maana

na bataana
mujse chupaana
ye bhi maine manzoor kiya
aur tujko maaf kiya

par fir tera kisi aur ke shabd mujko bhejna
mera dil dehlaana
mera armaano se khelna
mere dil ko yu kuchalna
mujpe barasna
aur fir mujpe hi galti ka ilzaam lagaana..

ye mujko aaj bhi manzoor nahi....
ye mujko manzoor nahi..

toota hai mera dil
aisa karke kya gya tujko mil

na main daat rha
na main samjha rha
na main dhamka rha
na main mazak uda rha
main kuch krne laayak na rha

shaayad ye rishta banana mere ab bas me na raha...!!!

Tuesday, July 19, 2011

roz raat ye apraadh hu kar bethta...

chala tha dil ki seemayein bandhne,
wo meri seemayein tod betha

chala fir main us khuda se kuch maangne,
wo mujhse muh fer betha

chala main apne yar ki oor,
wo bhi mera dil tod betha

aaya main apne pyaar ki oor,
wo bhi mujhse door ja betha

khatam hui meri taakat,
himmat fir bhi na haar betha

uthaya kalam,
aur sabke baare me kuch likh betha

jal gye mujse sab wo padkar,
jaise main koi apraadh kar betha

agar sachai likhna apraadh hai,
han to roz raat main ye apraadh hu kar bethta...!!

tham jaata hai ye aaj bhi unki baaton se...

kabhi kabhi jal uthte hai apne hi waadon pe,
kabhi kabhi luta dete hai sab kuch uski yaadon pe

kabhi to sehem jaate hai kuch naato se,
to kabhi seekh lete hai kuch un saath bitaayi hui raaton se

kabhi noor saja dete hai unki aankhon pe,
to kabhi lut jaate hai unki ek hasrat pe

seemayein to nahi bandhi thi is dil ke liye kabhi,
par tham jaata hai aaj bhi ye unki baaton se...!!

hasratein iski aaj bhi kisi aur ki hai..

upar upar se dekh kar kehte hai log,
sab theek hi lagta hai

kahiye unse kabhi andar jhaake humare wo log,
dil to humara bhi jalta hai

behekta hai, sehemta hai,
tadapta hai, tarasta hai
kabhi kabhi to ye rota hai

par koi kya ye jaanta hai..
bolo kya tumne kabhi mere dil ka ye haal jaana hai??

humesha dekha tumne isey
muskurata hua, chehekta hua,
khelta hua

par asal me to iski seemayein kuch aur hi hai
dhadakta hai mere seene me
par hasratein iski aaj bhi kisi aur ki hai..!!

usey apna liya...

humne mann hi mann kuch apna liya,
kuch kho diya aur kuch paa liya,

banane ko to bohot rishte hai is duniya me,
par jisko chaha tha barso se usko apna bana liya.

socha tha usko samajh liya
khud se behter jaan liya..

socha tha usko samajh liya
khud se behter jaan liya..

mann bhi uska parakh liya
aur dil me bhi uske jhaak liya..

par aaj bhi puch bethe hai wo
tumne aakhir mere liye kya kiya..

har baar hai tumne kuch liya
kya kabhi kuch diya..

us raat humne bohot socha bohot samjha
par samajh yehi aaya
baat to unki bhi sahi thi

aakhir humne diya bhi to kya- dil, jaan aur chahat
jiski is duniya me keemat nahi

aur liya bhi to kya-pyaar,waqt aur keemat
jiska is duniya me koi tol hi nahi...!!

Sunday, July 17, 2011

aukaat..

aukaat aapki humse unchi na hoti,
to ye door kabhi chooti na hoti..
abhi bhi rehta kuch darmiya,
agar ye zindgi humse roothi na hoti..
manaate rehte hum aapko,
agar ye daastan kisi ne looti na hoti..
nibhate aaj bhi hum apne saare farz
agar humse kisine haq jataane ki ijaazat cheeni na hoti..!!

aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai

raat ke is noor ki
tareef krne ka mann karta hai..

chandni ki is chamak me
doob jaane ka mann karta hai..

raat ki akeli roshan raaho me
kho jaane ka mann karta hai..

jo diye hai zakhm us khubsurat ne
unhe khula chorrne ka mann krta hai..

soch lia tha pyaar na krenge hum dobara
magar kya karein
aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai..

hogi kal ek nayi subah
maalum hai mujhko
par fir bhi in andhero me
chup jaane ka mann karta hai..

aayega kal ek naya savera
layega ek naya sandesa
par fir bhi in tanhaiyo me
jeene ka mann karta hai..

sochta hu jab un roshan raato ko
un jaagti subah ko, un khoti shaamo ko
to ek umeed jag uthti hai
magar fir bhi in dhalti raato me
doobne ka mann karta hai..

asmanjas me pad jaata hu kabhi kabhi to
yaha jau ya wahan jau
andhkar kheeche apni oor
suraj bandhe apni door
kya karu kya na karu
ye sochta reh jaata hu
par fir bhi isi raat me
reh jaane ka mann karta hai..

kho jaata hu kabhi kabhi to
in raasto pe
jinhe kabhi milti thi roshan raahein
par fir bhi aaj
inhi pe chalne ka mann karta hai..

bhaag bhaag ke in sabse door
bhaag gya hu apne aap se
jinhe samajhta tha kal tak apni zindgi
sahi maayno me bhag rha hu aaj unse hi
par kya karu kya na karu
aaj bhi samajh nahi aata hai
bas inhi raato me kho jaane ka mann karta hai..

humse puchte hai wo ki
kyu rehte ho andhkar me
jaakar kabhi puche to wo us zaalim se
ki kyu rakhte hai wo hume is andhkar me
jeena to hum bhi nahi chahte kuch aise
par fir bhi aise hi rehne ka mann karta hai..

kehte the kabhi wo humse
marte hai hum to tumpe
par aisa marna bhi kya marna
jo jeene na de
jo un sabhi gumo ko seene na de
jaante hai hum sataaya karte hai wo hume
par fir bhi aaj unse pyaar karne ka mann karta hai..


aur mile koi unhe to bata dena unhe
ki aaj bhi kisi pe marne ka mann karta hai...!!