Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Tuesday, July 19, 2011

usey apna liya...

humne mann hi mann kuch apna liya,
kuch kho diya aur kuch paa liya,

banane ko to bohot rishte hai is duniya me,
par jisko chaha tha barso se usko apna bana liya.

socha tha usko samajh liya
khud se behter jaan liya..

socha tha usko samajh liya
khud se behter jaan liya..

mann bhi uska parakh liya
aur dil me bhi uske jhaak liya..

par aaj bhi puch bethe hai wo
tumne aakhir mere liye kya kiya..

har baar hai tumne kuch liya
kya kabhi kuch diya..

us raat humne bohot socha bohot samjha
par samajh yehi aaya
baat to unki bhi sahi thi

aakhir humne diya bhi to kya- dil, jaan aur chahat
jiski is duniya me keemat nahi

aur liya bhi to kya-pyaar,waqt aur keemat
jiska is duniya me koi tol hi nahi...!!

No comments:

Post a Comment