kaise bhulaye tujhko,
rahaa nahi jaata;
par kya kare dil me jo dard hai,
wo sahaa nahi jaata;
reh jaati hai kayin umeede seene me dabi hui
is kadar,
ki bin unke khush rahaa nahi jaata;
hota tha tumhara deedar roz,
par ab roz ye dil hai taras jaata;
kaise samjhau tumko,
ki ye dil to hai bas tumko hi chahta;
teri naadaniyo ki saza milti hai mujhko,
fir bhi kehta hai tu ki main tujhko samajh nahi paata;
dil karta hai ki ye bandhan tod du,
par tere bina rehna nahi aata;
mushkilo se jhoojkar bana hu is kaabil,
par fir bhi tujhko poora haasil kar nahi paata;
par ye dil to hai naadan,
fir bhi ye hai tujhko chahta...
--abhi
No comments:
Post a Comment