Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, September 30, 2012

tujpe kahin zyada mara karta hu..

neend aati hai to khol leta hu,
sapne hote hai to tod deta hu

main tere khaatir kya kya kar deta hu,
fir bhi tu kehta hai tujhe mol nahi deta hu

apni hasratein tujpe nisaar karta hu,
sach kehta hu main bas tujpe hi marta hu

fir bhi tu kehta hai ki mujse darta hai
bata to main aisa kya karta hu

tu nahi hota to main akele hua karta hu
tere bin main tanha jiya karta hu

sun meri dhadkan ko kabhi,
jaise main tujhe suna karta hu;
intezaar tera main aj bhi kiya karta hu

sach kahun to ab main tujpe
pehle se kahin zyada mara karta hu..!!

No comments:

Post a Comment