Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Friday, September 10, 2010

pyaar- ek nasha..!!

pyaar ki main kadar krta hu,
tahe dil se isey main tumpe ada karta hu,

isi me main apni zindgi bitaya krta hu,
isme hi main apni saari chahat dikhaya krta hu,
aur isi me main khudayi ada kiya karta hu.

subah uthte hi usey yaad karta hu,
allah se pehle uska dhyan karta hu,
aur maa baap se zyada uski kadar karta hu.

bewajah maafi bhi maanga krta hu,
kabhi kabhi bina baat has diya karta hu,
kabhi chup rehke uski sun liya karta hu,
aur kabhi uski sunder aankhein pad liya karta hu.

kabhi dard seh liya karta hu,
to kabhi khushiyan uske sath baant liya karta hu.

kabhi akele muskura leta hu,
to kabhi milke ro liya karta hu.

kabhi apni baato ko daba liya karta hu
to kabhi uski baato pe jal jaaya karta hu.

par ishq ke liye sab kuch karta hu,
kabhi kabhi to iski pooja kar liya karta hu.

aur agar nasha bhi karta hu,
aur agar nasha bhi karta hu,
to ishq ka subah sham jaam pee liya karta hu...

tum kya sochti ho main dur rehker kuch karta nahi,
pyaar paas rehkar paane ka naam hota to baat hi kya thi,
ye to main dur rehker bhi tumse har lamha karta hu...!!!

No comments:

Post a Comment