aankho se ansu baras jaata hai,
jab tujhe dekhne k liye ye dil taras jaata hai,
kehta hai har ek aalam ruk kar ki ye dil tujhe bohot chahta hai,
tujhse milne ki khwahish ye har pal jagaata hai,
mil jaye tu to theek warna jaise taise ye apne aap ko manaata hai,
kabhi tujhse ruthta hai,
to kabhi apne aap ko sambhal leta hai,
aur kabhi kabhi apni khwahishe daba leta hai,
teri chahat me firse ye uthta hai,
ek nayi khwahish lekar ye ghar se nikalta hai,
kabhi kabhi darta hai,
tere bina ye dagmag dagmag karta hai,
tujhse puchna chahta hai ye kuch sawaal
ki kyu tu isey itna satata hai,
khata hai kya ye is dil ki ki ye tere liye itna pyaar jatata hai,
tere liye ye sab kuch bhulata hai,
tere liye ye sabko nakaarta hai,
is dil ke pyaar ko dekh kar baadal bhi baras jaata hai,
suraj bhi thandi hawa ke sath aata hai,
allah bhi ro jaata hai,
ye dil to hai paagal tere pyaar me
is hawa ko chookar tere paas bhejta hai,
aur us hawa ko tu chookar wapas bheje iske liye uska intezar karta hai,
ye dil to bas jeene marne ki kasam tere sath khaata hai,
aur ye jaanle tu ae meri jaan ki ye dil tere bina jeena nahi jaanta hai...!!
jeena nahi jaanta hai...!!
Monday, September 20, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment