Total Pageviews

Abhinav Dhar

Abhinav Dhar
Thats Me...!!!

Sunday, September 30, 2012

tujpe kahin zyada mara karta hu..

neend aati hai to khol leta hu,
sapne hote hai to tod deta hu

main tere khaatir kya kya kar deta hu,
fir bhi tu kehta hai tujhe mol nahi deta hu

apni hasratein tujpe nisaar karta hu,
sach kehta hu main bas tujpe hi marta hu

fir bhi tu kehta hai ki mujse darta hai
bata to main aisa kya karta hu

tu nahi hota to main akele hua karta hu
tere bin main tanha jiya karta hu

sun meri dhadkan ko kabhi,
jaise main tujhe suna karta hu;
intezaar tera main aj bhi kiya karta hu

sach kahun to ab main tujpe
pehle se kahin zyada mara karta hu..!!

har raat ki shuruat jaam se hai..

ye bandhan tere naam se hai;
mere karm tere kaam se hai;
yu to har subah ka ant teri shaam se hai;
par na jaane kyu har raat ki shuruat jaam se hai..

Wednesday, September 26, 2012

ye dil to hai bas tumko hi chahta


kaise bhulaye tujhko,
rahaa nahi jaata;

par kya kare dil me jo dard hai,
wo sahaa nahi jaata;

reh jaati hai kayin umeede seene me dabi hui
is kadar,
ki bin unke khush rahaa nahi jaata;

hota tha tumhara deedar roz,
par ab roz ye dil hai taras jaata;

kaise samjhau tumko,
ki ye dil to hai bas tumko hi chahta;

teri naadaniyo ki saza milti hai mujhko,
fir bhi kehta hai tu ki main tujhko samajh nahi paata;

dil karta hai ki ye bandhan tod du,
par tere bina rehna nahi aata;

mushkilo se jhoojkar bana hu is kaabil,
par fir bhi tujhko poora haasil kar nahi paata;

par ye dil to hai naadan,
fir bhi ye hai tujhko chahta...

--abhi

Tuesday, August 14, 2012

aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena

aaj raat akhiri baat kar rha hu
jo maangu wo de dena
jo puchu wo bata dena
magar ye zarur sikhla dena
ye mujhko sikhla dena..
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena....



tumhari yaadon ko main kaise sametu
ye mujhko batla dena
aaj raat ko ye mujhko
zarur sikhla dena


naata tod do
baat karna chod do
ye mujhko manzoor hai
magar main kaise tumhe bhuladu
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


aankhein band karu
tu na nazar aye
ye mujhko manzoor hai
magar kaise main duniya dekhu
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tumne kaha aasani se
ki mujhko bhul jao
tumko main bhul jau
ye mujhko manzoor hai
magar main kaise saas lena chod du
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


pyaar kiya izhaar kiya
tumne kaha dost hi sahi hum
tumhari taraf se dosti hi sahi
ye mujhko manzoor hai
magar bina pyaar ke dosti kaise nibhau
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


khubsurat hai aap
isme koi shak nahi
isko saabit karne k liye apni jaan dedu
ye mujhko manzoor hai
magar mere marne k baad
apki tareef kaun karega
aapka khayal kaun rakhega
aapse itna pyar kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena





chahat hai aapse sabse zyada
ap kehti hai us chahat ko tod dena
us naate ko chod dena
ye mujhko manzoor hai
lekin aisi chahat apko kaun dega
aapse aisa naata kaun rakhega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


doob gya hu main tere ishq me itna
jaise paagal doob jata hai gehrai me jitna
tum bhale hi muje paagal kehke thukra do
ye mujhko manzoor hai
lekin tumhe paaglo ki tarah mohobbat kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhse maine thoda waqt kya maang liya
tune kaha mere paas tere liye waqt nahi
ye bi mujhko manzoor hai
lekin tumhe aisa saathi kahan milega
jo tumse itna kum waqt maangega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


maine tumse sunne chahe pyaar ke do bol
apne dil ke har raaz ko dia tumhare saamne khol
tumne fir bi kuch na kaha
ye mujhko manzoor hai
par kaun tumhari khamoshi ko pehchanega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhse teri shikayat jo maine kardi
tune mujhse baat karni hi band kardi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun sahega tere pyaar k liye itna kuch
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


galti hui jab bhi teri
wo galti maine banali meri
tujhse bewajah maafi maangi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kahan milega tujhe koi
jo teri galti ko apna banale
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


hai bohot dukh aj is dil ko
pyaar karta hai ye bepanah jisko
wohi tod deta hai baar baar isko
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun tumse baar baar apna dil tudwayega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


tujhe humesha bepanah pyaar kiya hai
uth uth k raato me tujhe yaad kiya hai
fir bhi tu nahi samjhi mujhko
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun karega is kadar tera intezar
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


yaad hai mujhe wo beete lamhe
yaad hai mujhe wo sabhi baatein
jab tu mujhe rula jaati thi
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin kaun tere liye itna royega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


saalon se tera intezaar kia hai
humesha tujhse hi pyaar kia hai
fir bi tu kehti hai tumne kiya hi kya hai
ye bhi mujhko manzoor hai
lekin isse zyada tere liye kaun karega
ye mujhko batla dena
aaj raat ye mujhko zarur sikhla dena


isse zyada na kisi ne tujhse pyaar kiya hoga
na koi kar payega
agar koi aisa mil jaye
to mujhko batla dena
aj raat zarur usey mujhse milwa dena...........!!!


For my love... I love u always with all my heart.. n will continue doing so till the last breath of my life

HAPPY INDEPENDENCE DAY

aazadi ka hai daur magar,
koi nahi hai aazad yaha.

sookhe bikhre is desh me,
kuch nahi hai bacha jaha.

yu to hai apni mitti apna desh,
bachpan se hu raha yaha.

par kya karu idhar jeeke,
apno ka hi na ho samman jaha.

kehte hai sone ki chidiya,
jo bhi aata hai rehne yaha.

par na reh gya ab sona na hi hai chidiya,
na hi hai desh utna ucha pehle tha wo jaha.

karta hu sabse guzarish,
jo bhi rehte hai yaha.

kar sako to thoda karo is desh k liye,
wahi rehke kuch karo ho jaha.

kehlaata hu is desh ko aaj bhi mahaan,
kyuki rehta hu yaha.

nahi kara shayad humne kuch iske liye,
par rakha hai hume is desh ne sambhalke hum rahe ho jab jab jaha...!!

Sunday, August 5, 2012

hume to wo umra bhar ke liye tanha kar gya

aaj fir koi mujhko sikhla gya
pyaar ka paath apne aksharo me pada gya

kuch keemat nahi mere aansuo ki ye bhi samjha gya
kya kadar hai jazbaato ki ye bhi wo batla gya


kyu apna mukaddar uske liye fir bhi khota hu
kyu raaton me bhi aankhein khol sota hu


kya main uski chahto ko aaj bhi chahta hu
kyu uski di hui har cheez aaj bhi seene se lagata hu


bhul jaana chahta hu sab
fir bhi jaane kyu sab baar baar yaad aata hai
aata to hai rona bohot
fir bhi sath rehna hai humesha bas yehi mann me aata hai


iske bawjood kaise wo hume ek pal me paagal bata deta hai
humari baat ko bakwas bol ek baar me chup karwa deta hai

sunta to hai humari baat par usko kabhi nahi nibhaata hai
chalta to hai ye rishta par shaayad usko nahi bhaata hai


tabhi har baat pe wo isko todne ki fariyaade karte hai
theek usi pal hum unse sada jude rehne ki chaah karte hai

wo hume sataate sataate baaz nahi aate
par hum bhi apni poori jaan laga dete hai

lekin rishte ko jab jab todne ki baat wo krte hai
hum bhi andar tak toot jaaya karte hai


sahi kehte hai wo
hum hai hi paagal

kyuki tab bhi hum himmat jodkar
khud ko sambhalkar
toote hue dil ko manaakar
poore saahas se uska saamna kiya karte hai


fir bhi wo hai kathor bohot
humpe aaj bhi barsa karte hai


kya itna kuch maang bethe hum unse
ki wo hume itna bhi na de sake
ya itna haq bhi nahi hai hume
ki hum unse itna maang sake


shaayad nahi hai itna bhi haq
tabhi to wo aaj bol bethe
jaa tod de ye rishta
nahi hai mere paas tere liye waqt

karle jo karna hai
main nahi badlunga
main har baar
tujpe aise hi barsunga


kya bolta main
bas sunta chala gya

jaate jaate bhi wo mujko rula gya
kuch dard k aansu pila gya
maana bohot hai uske chahne wale
par hume to wo umra bhar ke liye tanha kar gya..!!

door tum itna na jhona.. ki hume pad jaye khona..

door tum itna na hona
ki hume pad jaaye khona

paas bhi tum itna na rehna
ki door jao to pad jaye sehna

rehna magar banke gehna
muje hai tumse bas ye kehna

tum bin hai na chaina
tum bin kate na raina

tumko hi hai chaaha
tumko hi hai paana

tumko hi hai maanga
tumko hi hai apnaana

bas door tum itna na hona
ki hume pad jaaye khona..!!

Saturday, July 28, 2012

wo paas rehke bhi bohot door raha karte hai...

jab har bahaane se hum usey yaad karne ki koshish karte hai,
theek usi pal wo hume bhulaane ki koshishe karte hai..
jab har zarre se hum uski fariyad karte hai,
theek usi pal wo humse door rehne ki fariyade kiya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!

na jaane kaise hum unhe bhul payenge,
wo to roz hume dekh kar bhula diya karte hai..

na jaane kaise hum jee payenge aakhri pal,
wo dekh ke bhi hume andekha jo kar dete hai..
kya kami hai humari fariyado me,
jo wo aaj bhi bas humse nazre chura liya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



koi shaks mile unse to keh dena,
aaj bhi hum sirf unki chahton ki numayish kiya karte hai..
farz samajhkar hum apna,
unke naam ki duyaaein maanga karte hai..
chahat hi hai humari kuch is kadar unke liye,
ki namaaz bhi unhi ke naam se adaa kiya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



maaf karna khuda hume,
hum to ibaadat unhi ki kiya karte hai..
maloom hai kuch nahi hoga haasil,
pathar dil ko jo hum pooja karte hai..
par kya kare us vishwas ka,
jo aaj bhi hum apne dil me rakha karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



wo to maaya k prati mohit hai,
hum to maaya bhi unhi ko samjha karte hai..
wo jeevan ki saari khushiya dhundti hai,
aur hum uspe apni khushiya gawaaya karte hai..
wo deke hume saare gum kaise rehti hai itni khush,
hum to gum k amrit me doob jaaya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



chodkar hume tanha,
wo jeevan me mast raha karte hai..
hum jaagte hai unki aas me,
wo hume jaga rakh so jaaya karte hai..
bhul bethe sab unke pyaar me,
fir bhi wo humare pyaar pe shak kiya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



hum kehte hai tum sabse pyaare ho,
wo hume naakaara bataya karte hai..
hum karte hain unki taareefe,
wo bin baat pe ladaa karte hai..
unse bichadne ki baat bhi hume takleef pohcha deti hai,
aur wo ye aksar bol diya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



ek pal milne ki aas me sadiya guzar jaati hai,
wo is dil ki gehraiyan aaj bhi samjha nahi karte..
hum to aawaz sunke bhi khush ho jaaye,
par usme bhi hume takleef diya karte hai..
karte reh jaate hai hum intezaar,
aur wo baat karna bhi bhul jaaya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



unke liye hum humesha ready to serve rehte hai,
lekin wo humesha vyast hone ka bahaana diya karte hai..
hum short notice pe unhe milne bulaaye,
to galat bataaya karte hai..
par khud jab wo bulaaye,
to turant humari peshi karwaya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



bohot majboor paate hai khud ko kabhi,
par wo khud ko hi majboor bataaya karte hai..
jeete they jis khushi se wo bhi nahi bachi ab to,
ab wo aur kya umeed karte hai..
mushkile jeevan me pehle se hi thi,
par wo ye aaj bhi nahi samjha karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



sabne to pehle hi thukraaya,
wo bhi anjaan bana karte hai..
meri majburiyo pe the sab haste,
wo bhi mazaak banaya karte hai..
chaahat ko sabne naakar diya,
wo bhi manaa kiya karte hai..
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!



khud khule panchi ki tarah jeena chahte hai,
hum pe bandishe lagaaya karte hai..
maasoom bankar aaj bhi,
wo hume loot liya karte hai..
kya kasoor hai mera aye khuda,
kya pyaar maangne ki koi aisi saza diya karta hai??
kaisa rishta hai ye ajab sa naa jaane koi,
wo paas rehke bhi humse bohot door raha karte hai...
todkar humare dil ko sadiyo se wo aaj bhi anjaan bana karte hai..!!




Thursday, July 26, 2012

waqt ki kami nahi.. mehetv ki kami hai..!!


waqt ki kami nahi
mehetv ki kami hai

waqt to tum humko de dete
par mehetv hota to

waqt to tumhare paas bohot hai
mehetv diya hota hume to hume bhi thoda mil jaata

fb ke chat ka waqt
status pe comment ka waqt
photo ko like karne ka waqt
aur ghanto tak surfing

dosto se batiyane ka waqt
unke sath bahr jane ka waqt
sone ka waqt
khaane ka waqt

lab me khelne ka waqt
hasi mazak karne ka waqt

ye sab waqt to mil hi jaate hai
tumhe poore din me

fir kyu nahi mil paata
mujse baat krne ka waqt

mujhse ek baar puchne ka waqt
ki kaise ho

mera dhyan rakhne ka waqt

mujhse pyaar karne ka waqt

jabki raat ko tumhe mil jaata hai
ladne ka waqt
apni saari baate sunane ka waqt

kyu nahi kabhi mil paata
meri baate samajhne ka waqt...

waqt to tumhe mil hi jaata
waqt ki kami nahi
mehetv ki kami hai...!!!

dil ke hisse ki baat karni hai...


tarannum k sitaaro se achi
raat ki chandni hai

tumhari baahon se achi
aaj koi aur jawaani hai

bhula sako to bhulake dikhao hume
bola kyu tha fir ki zindgi tumhare sath bitaani hai

bewafai karke kadam kadam pe
kehte ho hume tumhari dagar sajaani hai

jo dil me panap rhi hai kabse
aj tumhe wo kahaani sunani hai

main nahi hu tumhare layak aisa hi lagta hai tumhe
to fir kyu har baar pyaar ki baatein banaani hai

yehi sila dia gya mere pyaar ka
ki har baar saari galtiya mere upar thopni hai

maaf krna muje par lagta nahi ki tum ho wo
jisse muje apne dil k hisse ki baat karni hai...!!

Monday, July 16, 2012

tu laut chalaa ayega..


kisi ne humse keh diya
ki hum unke aansuon ke layak bhi nahi

agar wo aisa sochte hai
to aisa hi sahi

par kya unhe pata hai
rishte baar baar nahi mil jaate kisi mod pe kahin

par kya karte jab vishwas hi nahi tha
to hum bhi chod aye us rishte ko wahin

humne bhi kabhi socha na tha
aisa bhi waqt ayega

kahin majburiyo se nikalkar
aise humko fasaaya jayega

kabhi kisi oor to kabhi kisi oor
le jaya jayega

loot kar bhi mujko
baar baar loota jayega

kisne socha tha ki rishto pe
aisa saaya chaayega

jo laata tha kabhi khushiya
wo itne dukh bhare nagme leke ayega

sach bolu to aaj bhi ye lagta hai
ki ye rishta meri zindgi me chaayega

par pata nahi ab kaise
ye mumkin ho paayega

kehte hai ek haath se nahi bajti taali
isliye na jaane kab wo doosra hath sath ayega

sath aaye bhi to aisa aaye
ki mere sath ko samajh payega

sach kehta hu dil se
kabhi dil tujhe nahi bhula paayega

par kya thi meri majburiya
kya tu aaj bhi ye samajh paayega

bohot se musaafir aye zindgi me
par pata na tha tu kuch khaas ban jayega

dil ko hai ab bhi vishwas
ki tu meri nazar se dekh ke samajhke
wapas is rishte me laut chala ayega...!!

Monday, April 16, 2012

दूर चले जाएगी वो रौशनी जो रहती थी तुम सबके होने से इस जिंदगी में ...!!

कब मैंने ये सोचा था एक ऐसा लम्हा भी आएगा
जो ये दिन दिखलायेगा


जुदा होंगा मैं अपने यारों से
जिनसे जुड़ा था मैं इन सालों में


उन आहटों से उन हसरतों से
जिनसे जुड़ा था मैं इन कुछ दिनों में


कैसे जी पाउँगा उन क्लास की बेन्चेस के बिना
जिनसे नाता था कुछ काचा पक्का सा


उन लोगों के बिना
जिनसे न चाहते हुए भी कुछ था बंधन सा


उस कैंटीन की याद के बिना
जिनसे रिश्ता था काफी पुराना सा


वो नेस्कैफे की maggy 
जिसमे स्वाद था कुछ अलग सा

उन अध्यापको की डाट के बिना
जो लगती थी हमेशा बेवजह सी


उस लैब के बिना 
जहाँ प्रोग्राम नहीं बनता था चलता था कुछ facebook ऑरकुट सा


उन सेमिनार और presentation के बिना
जिसमे आता था सबसे ज्यादा मज़ा 


उन प्रोजेक्ट रिपोर्ट और files के बिना
जो एक दिन पहले बना करती थी


उन फर्रो के बिना
जो एक्साम में पकडे जाते थे


उस पहले सुट्टे के बिना
जो यारी दोस्ती में मारा जाता था


उस व्हिस्की के पेग 
जो दोस्तों के साथ मारे जाते थे


क्या लौटके अ जायेंगे ये दिन ??
लगता है मुश्किल
पास है मंजिल पर न रहना पड़ेगा एक दूजे के बिन 


टूट जाएगा नाता उन यादों से
उन लम्हों से
जो रहती थी हमेशा इस दिल में

दूर चले जाएगी वो रौशनी
जो रहती थी तुम सबके होने से
इस जिंदगी में ...!!















Thursday, March 29, 2012

koi aur hi shararat karli hoti

jhuti hi sahi
mohobbat to di hoti

thodi hi sahi
inaayat to ki hoti

lut gya tha jab main
thodi to rehmat ki hoti

kya milta hai ye sab karke
kabhi to ishq ko chahat di hoti

pata nahi hum bhi kyu kr bethte hai baar baar tumse pyaar
isse acha to koi aur hi shararat karli hoti

sab kuch diya tumpe humne waar

teri hukumat ko
samajh bethe hum pyaar

bhul ho gyi ki
kar bethe tujhse ikraar

na jaane kab honge hum tere kaabil
kab band kroge tum apne ye waar

kaisi hai ye zindgi
na reh gya hai kuch iska saar

hakeekat hai ya hai sab kuch anjaan
nahi judta kisi bhi aalam se taar

kya kare hum rehke is duniya me
jab sab kuch diya tumpe humne waar

dil to haar gya..

unko samajhte samajhte
main aaj khud ko haar gya

zindgi to jee
par sab kuch waar gya

tohfon me ye aansuo ki daulat mili
aur gum chaa gya

dimag to kehta rha
ki jeena a gya

par hume pata hai
ki ye dil to haar gya..!!

waade kiya karte the

tere pyaar me hum kya kya kiya krte the,
kya tujhe pata hai hum kaise jiyaa karte the??

tune to lut li humari zameen
kya tuje pata hai hum kaisa sambhala karte the??

kya milta hai aise reh kar
kya milta hai ye sab kar kar
batade aaj hume
kya hum tere sath itna bura kiya karte the??

kya tuje pata hai
tere pyaaar me hum jiya mara karte the
fir bhi thokro ki bauchar kar
saare ilzaam humaare sar chadaa karte the

thak chuke hai hum in aandhiyo toofan se
kya tum itna bhi bhul gye
tum humare sath humesha rehne ke
waade kiya karte the??

Wednesday, March 28, 2012

jo hua karti thi kabhi...

yehi sochta hu kabhi kabhi,
tujhse mohobbat kyu ki kabhi,
tujko chahat kyu di kabhi,
aur fir wafaayein maangi kyu kabhi.

un sitamo se kyu hua roobaru kabhi,
fir lautkar us raah pe
kyu hua tanha kabhi.

aag me jalta raha fir bhi main chalta raha
tujko paane k liye kabhi,
us mohobbat ke khatir
jo mere dil me basti thi kabhi.

aaj samaa kuch aur hai
raahein bhi kuch aur hai
par is dil ki hasratein aaj bhi wohi hai
jo hua karti thi kabhi...!!

Wednesday, February 22, 2012

tere pyaar me hum marr bhi nahi paate...

chahke bhi nahi has paate,
khafaa hoke bhi nahi ro paate,
aise aahtein
aisi hasratein ki chahkar bhi nahi lutaa paate,
rooh ki wo aawazein
gardish ke wo sitaare bhulake bhi nahi bhul paate,
kyu khwahish ki har umeed zanjeer ban gyi
ye hum samajke bhi nahi samajh paate,
nafrat pyaar ki wo lakeer kahan se agyi
ye hum sochke bhi nahi soch paate,
bhari mehfil me bhi kyu rooh reh jaati hai pyaasi
ye mehsus krke bhi hum bayaan nahi kar paate,
umar beet gayi in kisse kahaaniyo me
chahkar bhi hum inhe khatam nahi kar paate,
beete hue lamhe guzri hui baatein aur thami hui raaton ki yaado me lipatkar bhi
hum unse khush nahi ho paate,
tasveer ke ujaale me
tere chehre ke sajaane me
khoke bhi hum kho nahi paate,
dukh hai jo mann me
chahkar bhi isko jataa nahi paate,
bohot mushkilo se tumhe chah aur pyaar kiya
ye sab hokear bhi hum adaa kar nahi paate..!!
tere pyaar me hum jee to nahi paaye
par marr bhi nahi paate...!!