main jabse hu is duniya me
tabse tu hai mere sath
koi din ho koi raat
ya koi bhi baat
na jaane kyu na jaane kyu
har dum chaahta hu main tera saath
maa... o maa..
na jaane kyu na jaane kyu
tere bina zindgi me nahi koi aas
maa.. o maa...
jab bhi door main hota hu
tujhko yaad main karta hu
door bhi tu hoti hai
to bhi paas tujhko paa leta hu
maa.. o maa..
na jaane kyu
ye aisa ek bandhan hai
jisko main bhulke bhi
nahi bhul sakta
maa.. o maa
na jaane kyu
ye aisa ek bandhan hai
jisko main tod ke bhi
nahi tod sakta
maa... o maa..
jab jab mushkil me main hota hu
ya kuch bhi main khota hu
tujhko sang main paata hu
jab jab milti hai sazaa
wo bhi bewajaah
sirf tujhko sang main paata hu
maa.. o maa
ye duniya jab rooth jaati hai
har kadi jab chooth jaati hai
sirf tujhko sang main paata hu
maa.. o maa
har ek aayne me
har ek zarre me
har ek kaagaz pe
har ek leher pe
bas tujhko hi paata hu main
maa... o maa
barf se lipti us pahadi pe
ya registan ki us ret pe
bas yehi hai meri zindgi
lekin tu hai jo barf me mujhko dhak leti hai
registan me mujhe hawayein deti hai
meri parwaah beparwaah hoke karti hai
kitni khoobsurat hai tu jo mere liye sabse ladti hai
hazaaro baar rulaau main bhale hi tujhko
fir bhi mujhpe sab kurbaan karne se nahi darti hai
aakhir kyu tu mujhpe itna marti hai
sochta hu..kya har ek ke jeevan me aisi MAA hoti hai
pata nahi mujhe sabka
par karta hu jab khuda se ibaadat
to har chaahat me
teri hi baat hoti hai
dikha nahi paata bhale hi main
par meri har nas me teri yaad hoti hai
chuka to kabhi sakta hi nahi main
teri mohobbat ke ehsaas ke niche dabe karz ko
par meri ek ek muskurahat tere naam hoti hai..
tabse tu hai mere sath
koi din ho koi raat
ya koi bhi baat
na jaane kyu na jaane kyu
har dum chaahta hu main tera saath
maa... o maa..
na jaane kyu na jaane kyu
tere bina zindgi me nahi koi aas
maa.. o maa...
jab bhi door main hota hu
tujhko yaad main karta hu
door bhi tu hoti hai
to bhi paas tujhko paa leta hu
maa.. o maa..
na jaane kyu
ye aisa ek bandhan hai
jisko main bhulke bhi
nahi bhul sakta
maa.. o maa
na jaane kyu
ye aisa ek bandhan hai
jisko main tod ke bhi
nahi tod sakta
maa... o maa..
jab jab mushkil me main hota hu
ya kuch bhi main khota hu
tujhko sang main paata hu
jab jab milti hai sazaa
wo bhi bewajaah
sirf tujhko sang main paata hu
maa.. o maa
ye duniya jab rooth jaati hai
har kadi jab chooth jaati hai
sirf tujhko sang main paata hu
maa.. o maa
har ek aayne me
har ek zarre me
har ek kaagaz pe
har ek leher pe
bas tujhko hi paata hu main
maa... o maa
barf se lipti us pahadi pe
ya registan ki us ret pe
bas yehi hai meri zindgi
lekin tu hai jo barf me mujhko dhak leti hai
registan me mujhe hawayein deti hai
meri parwaah beparwaah hoke karti hai
kitni khoobsurat hai tu jo mere liye sabse ladti hai
hazaaro baar rulaau main bhale hi tujhko
fir bhi mujhpe sab kurbaan karne se nahi darti hai
aakhir kyu tu mujhpe itna marti hai
sochta hu..kya har ek ke jeevan me aisi MAA hoti hai
pata nahi mujhe sabka
par karta hu jab khuda se ibaadat
to har chaahat me
teri hi baat hoti hai
dikha nahi paata bhale hi main
par meri har nas me teri yaad hoti hai
chuka to kabhi sakta hi nahi main
teri mohobbat ke ehsaas ke niche dabe karz ko
par meri ek ek muskurahat tere naam hoti hai..
No comments:
Post a Comment